Wix.com par apni website kaise banaye website kaise banaye mobile se
Hello friends pc hindi tricks main aap ka suwagat hai dosto apne Internet Se paise kamane ke bare me suna hai sayad haa to Website ya blog se ghar bhaithe internet se paise kamane ka pahla aur sabse popular jariya hai aj ke es morden life me internet ek unique research hai aur internet par kisi bhi problem ke solution ka best jariya jaha ap es world se judi koe bhi information search ya explore kar sakte hai. Simply apko jab kisi bhi information ke bare me details me Jankari chahiye to ap Duniya ke sabse Search Engine Googlr me search kar lete hai aur apke samne google apke keyword ke hisab se top 10 website ko apne search result me layega aur ap kisi ek website par visit karke apne question ka full answer pa sakte .
Kya apne kabhi socha hai ki jo information ya knowledge ap google me search karte hai wo sari information kaha se ati hai sayad apke man me hoga ki google ye sari information apke khud likhta hai generate karta nhi ye sari ki sari information ya knowledge es vishal internet par maujud kisi na kisi blog ya website se hi ati hai jo ki ki website’s ya blog owner ke dwara likhi ya banayi gyi hoti hai. Dosto google ka kam bas etna hai ki internet par maujud sabhi blog aur website ki ek specific list taiyar karke apne paas index ke rup me rakhta hai aur jab koe user google me kuchh bhi search karta hai tab google search me use huye keyword ke hisab se kuchh top results show karta hai jisme un sabhi website ya blog ke address honge jo us keyword se related best jankari dete ho. Specially ye kam google apne algorithm se karta hai.
Blog Ya Website Kya Hai ese Free me Kaise Banaye?
Friends yadi ap ko Blog ya website banana hai to esse pahle apko website ya blog kya hai aur en dono me kya ferk hai eske bare me jan lena jaruri hai.
Website -: Website banane ke liye apko Html, java, ccs, php, coding knowledge honi chahiye. website kisi company ya government survice ko ko logo tak pahuchane ke liye website banayi jati hai website kisi special person html, java, ccs, php etc. Coding ke jariye banata hai. Chahe to ap apne kisi smart work ke liye website web devloper dwara banwa sakte hai jo ki kaphi costly hota hai. Lagbhag 2000-1000 tak ye depend hai apki website look par.
Blog -: Blog bhi ek tarah ki website hi hai bas ferk etna hai yaha apko daily new and new write kiye jate hai jo ki blog update ke rup me jari kiya jata hai.
Blog bhi lagbhag websute ki tarah look aur labhag sabhi features same hote hai jaise ki meri News website ko blog bhi kah sakte hai. To ye to blog aur website me kya ferk hote hai jan liya
Website Banate kaise hai?
Website ya blog banane ke liye sabse jaruri requirements hai sabse pahle apko Money yani paise ki most jarurat padegi ( hosting, aur web programming ke liye coding skill jaise java, html, ccs, php, etc. Ki jarurat hogi aur apke pass achha time hona chahiye) yadi apke pass es sabska skill yani jankari nhi hai to ap paise spend karke web devloper se achhi look wali website banwa sakte hai.
Par hum free website ya blog banane ke bare me janenge free blog ap badi asani se 2 minute me bana sakte hai esme apko kisi coding skill ki jarurat nhi padegi simply ap online tools ,copy and pasting ki madad se ek achha blog bana sakte hai ye janne ke liye ap es article ko last tak ka read .
Yadi apko free Website banani hai to kuchh free platform hai jin par ap apna free website bana sakte hai jaise -:
Ye un website ki list hai jis par ap apna 100% free website bana sakte hai bina coding language skiil ke. Simply ap yha jakar apna account create kijiye aur copy & pasting, drag & draw karke easy method se apna free website bana sakte hai.
Blog Kya Hai Blog kaise Banaye?
Free blog me apko koe bhi paisa kharch nhi karna padta. Aur har successful blogger free blogging se suru ki thi baad me kuchh paise pay karke ap paid hosting ka use karke WordPress blog bana sakte hai. Yadi apko blogging ko suru se sikhna hai to apko har successful blogger recommend karenge ki ap blogging ki suruat free blogger.com se suru karni chahiye. Free blog banane ke liye tin platform sabse popular hai
1 -: Blogger.com
2 -: wordpress.com
3 -: Simplesite.com
En tino me sabse best SEO optimize aur User manageable simple blog blogger.com hai jo ki google ka ek Survice hai jisme ap bilkul free blog bana sakte hai. Joki Search Engine Optimization ke best hai aur esme apke premium theme bilkul free me mil jate hai blogger.com par free blog banane ke liye apko -:
1st -: Google gmail Id (yadi apke pass google gmail id nhi hai to ap es post par jakar free gmail id bana le)
2nd -: Internet connection
3rd -: 15 minutes ka time
To en sabme se apke pas sab kuchh hai to aj hum blogger.com par free blog banane ke bare me janenge to chaliye suru karte hai
Blogspot Me Free Blog Kaise Banaye?
1 -: Sabse pahle ap browser me www.blogger.com ye url address type kare aur blogger ki website ko open kare.
Waha apko Create Your Blog par click kare.
2 -: Ab ap jaise hi Create Your Blog par click karenge to ye apko google Gmail login page par le jayega waha ap simply apna Gmail id aur Password enter karke login kar le phir login hone bad ap sidhe Blogger.com website par chale aayenge.
Free Website Ya Blog Kaise Banaye?
3 -: Ab Ap yha apni details kuchh es prakar enter kare -:
1st -: Blog title me ap apne ka koe Unique Title chune Jaise ki Mera “mypcgoodlife”
2nd -: Yha address me blog ka url apne blog ke title ke hisabse chune aur dekhe ki ye url available hai ya nhi yadi url address available rahega to right tick lag jayega. (for example: -: indiasmarthelp.blogspot.com)
3rd -: Yha apna koe best blog ke liye theme Chune joki apke blog ko as website look deta hai.
4th -: Simply ap en sabko karne ke bad Create Blog par click kare Now Done Apka Free Blog ban chuka hai ab ap blog ke dashboard par redirect ho jayenge.
4 -: Ab Ap apne Dashboard par hai yha apka blog control panel hai.
1st – New par click karke ap apne blog ka First Post likh sakte hai. Yaha apko article likhne me upyog hone wali sabhi controlar mil jata hai.
2nd -: yaha apko Post publice karne se lekar SEO tak Apko sare options mil jate hai. En sabhi option ko use karke ap apne blog design Search engine optimization, meta tag, post, comment reply, etc kar sakte hai.
5th -: Ab apne Free Blog bana liya hai ab ap ane wale article me Blog post kaise likhte hai aur blog ki Look settings kaise karte hai. Etc blogging se related article post honge.
Too friends Free Website Ya Blog Kaise Banaye? aasha karta hoon ye Article apke liye free blog/website banane me kaphi helpful rahi hogi. Ye post apko kaisa lga commnt box me jarur bataye aur apka koe sujhav ya sawal ho to comment me jarur puchhe.
please comment your choice game ...