Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye

Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye

post by:-mahendra raiger

Hello friends pc hindi tricks main aap ka suwagat hi aapne Internet par  kai websites aur blog par Google adsense ke baare me padha hoga. Aur un blog ki income report bhi dekhi hogi. Aapke man me ye sawal jarur aaya hoga ki Google adsense kya hai aur Google adsense se paise kaise kamate hai? Aaj is post me hum google adsense se paise kamane ke baare me detail se janenge. Sath hi janenge ki kaise adsense se aap monthly $1000 easily kama sakte hai.

India me sabhi Hindi blogger apne blog ya site se paise kamane ke liye Google adsense ka use karte hai. Aur ghar baithe blogging se paise kamate hai. In Hindi blogger ki monthly income bhi lakho me hoti hai. Aisa nahi hai ki sirf Hindi blogger hi adsense ka use karte hai, English language site par to google adsense ki income aur bhi jyada hoti hai. Hindi language sites par adsense use karne ka ek karan yeh hai ki Hindi blogs par income ke tarike bahut kam hai. Aur google adsense se jyada paise aur koi ad network nahi de sakta. Isliye google adsense Hindi site se paise kamane ka sabse badiya ad network hai.
.
Lekin Google adsense se paise kamana itna aasan bhi nahi hai. Adsense se paise kamane ke liye bahut jyada mehnat aur hard work ki jarurat padti hai. Sath hi smart work ki jarurat bhi hoti hai. Agar aap bhi adsense se paise kamana chahte hai to aapko puri tarah se blogging ki field se judna padega. Ek baar blogging karne ka tarike aur websites quality maintain karne ka knowledge ho jane ke baad aap badi aasani se adsense se paise kama sakte hai.
Agar aap Hindi me blog banayenge to aapke samne paise kamane ka sirf ek hi jariya hoga. Aur wo adsense hi hoga. Kyunki Hindi websites ko monetize karne ke tarike bahut kam hai. Aise me adsense se jyada paise kamane ke liye blog ka traffic bahut jyada hona jaruri hai. Bahut se Hindi blogger adsense ka use karte hai lekin uske blog ka traffic aur content bahut kam hota hai. Aur wo adsense se bahut kam kamai kar pate hai.

Google adsense kya hai

Adsense Google ki ek advertising service hai. Jis tarah TV par ad aate hai usi tarah websites par ad dikhane ke liye publisher Google adsense ka use karte hai. Google adsense ka use wo sabhi website owner free me kar sakte hai jo adsense ki program policies  (niyam aur shart) ka palan karte hai.

Google adsense kaise kaam karta hai

Jab bhi kisi site ke liye google adsense account approve ho jata hai. To google us site par apne ad show karne lagta hai. Adsense ke ads site par show karne ke liye HTML code ko site me lagana padta hai. Ad show hone ke baad jab bhi koi visitor us ad par click karta hai to google us click ke paise site owner ko deta hai.
Ye ads kisi bhi company ya brand ke ho sakte hai jo google ki madad se apne product ka prachar karwati hai. Ye companies google ko ad show karne ke liye paise deti hai. Jisme se google kuch percent paise katkar baki ke paise website ke malik ko de deta hai. is tarah brand ka prachar bhi ho jata hai aur website malik adsense se paise bhi kama leta hai.

Adsense se paise kaise kamaye

Google adsense se paise kamane ke liye aapke paas in 2 me se kisi ek ka hona jaruri hai.
  1. YouTube channel
  2. Website ya blog
#1. YouTube Channel – 
Google adsense YouTube par bhi ad service ko support karta hai. Youtube par adsense se paise kamane ke liye ek youtube channel banana padta hai. Youtube channel banane ke baad aap kisi bhi topic par quality video upload kar sakte hai. Topic aisa hona chahiye jiske baare me aap puri jankari rakhte hai. Ek baar aapke channel me videos par views milne lage uske baad aap adsense ke liye aaply kar sakte hai. Adsense account approve hone ke baad aap apne youtune channel se paise kamane lagenge.
#2. Website ya Blog – 
Adsense se paise kamane ke liye aap ek blog bana sakte hai. Aap jis field me jyada jankari rakhte hai usse related blog banakar us par post likh sakte hai. Aur blog par adsense account approve hone ke baad aap paise kamane lagenge.
Blog par adsense account approve karane ke liye blog adsense ki policy ke anusar hona chahiye. Adsense sabhi tarah ke blog ko approve nahi karta hai.
Adsense se $1000 monthly kamane ke liye aapke blog par 200000 se jyada monthly pageview hona chahiye. Aap soch rahe honge ye to bahut jyada hai. Lekin 200000 monthly page views kiye jaa sakte hai. Iske liye aapko apne blog ko thik se maintain karna hoga. Quality post likhna hogi aur sahi tarike se SEO karna hoga. Bahut se Hindi blog par monthly page views 500000 se bhi jyada hai agar aap ko Adsense ke bare main or koi jankari cahiye to comment kare or haa is post ko share jarur kare thanks for reading this post..

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...