Bank Account मैं Aadhaar Card कैसे Link करे हिंदी मैं जानकारी

Bank Account मैं  Aadhaar Card कैसे  Link करे  हिंदी  मैं जानकारी


post by:-Mahendra raiger

Dosto ab aadhar  Jaha kahi bhi document submit karna hota hai waha Adhar Card must hai. Abhi kuchh din pahle Government ne LPG par direct Subsidy dena band kar diya. Subsidy amount direct user ke account me aa raha hai. aise me account ko Adhar Card se link karna bahut jaroori hai.


 Adhar Card ko Account se Connect karna bahut hi easy hai aur aap ise Ghar baithe aasani se kar sakte hai. Is Post ko dhyan se poora padhe. Is Tips ko use kar almost sabhi bank account me Adhar card number add kar payege. Chahe Aapka account State bank of India(SBI), Punjab National Bank(PNB), Central Bank of India (CBI), Oriental Bank of Commerce(OBC), HDFC, ICICI,Canara, Axis Bank ya kisi doosre Bank me ho. Waise Next Post me mai sabhi Bank ke liye alag – alag Post bhi publish kar rahi hu. Is Post me mai Adhar Number ko Bank Account se Link karne ka general information share kar rahi hu.


Aadhar Link Kyu Kare

Bank Account Adhar Number se link karwana mandotary kyu kar diya gaya hai  बैंक अकाउंट को आधार कार्ड से लिंक करना जरूरी क्यूँ है ? :
  • Haal hi me Government ne Adhar Enabled Payment System (AEPS) ka shuruat kiya hai.
  • AEPS ki madad se user without Debit card finger print ka use kar Account Transaction kar sakta hai.
  • Ek user ka ek hi adhar card ban sakta hai to aise me Corruption ke chances kam hai.
  • LPG Subsidy direct aapke account me aa jayega.
  • Adhar Card Link Hone se Black Money Track kiya ja sakta hai.
  • Sabhi Government Subsidies ke liye single Financial address.

 

Bank Account Me Aadhar Link Kaise Kare

Adhar Card ko Bank account se link karne ka 2 (two) tarika hai.
       1. Online Update or Link Adhar Number to Bank Accout 
or,
       2. Application form fill kar Bank me Submit karo.
Choice is yours !
Online Process for Linking Adhar Card to bank Account :
Online Adhar Number ko Bank Account se Link karna easy process hai. Online Adhar Number Link karne ke liye aapke pas Internet Banking Facility hona jaroori hai. Currently State Bank of India (SBI), Punjab National Bank (PNB), AXIS Bank, ICICI Bank, HDFC Bank Internet Banking ki service de rahi hai jise mai use kar chuki hu aur kar rahi hu.


Link Aadhar Card with All Banks Account

Yadi aap ka Account kisi anya Bank me hai to koi problem nahi hai Bas is step ko follow kare : 
  • Internet Banking ke Login credentials se login kare.
  • Login ke baad Option Check kare Update Aadhar Card Details or Aadhar Card Seeding.
  • Easily find kar lete hai to sahi hai. nahi to Login ke baad Ctrl+F press kare ek search box aayega usme Aadhar Card Type kare. Website me jaha kahi bhi Aadhar Card likha hoga wo aapko dikh jayega.
  • Link milne par LINK OPEN kar Aadhar Number enter kare.
  • Yadi Verify karne ka message aata hai to ise verify kar Submit kare.
  • Congratulation ! Aapka details Bank ke Database me save ho chuka hai.
  • Bank Portal apne end se Aadhar Number ko Verify Kar Confirm kar dega.
  • Yah Process 48 hours ka time leta hai !
  • Bank account Aadhar Number se successfully link ho jane par bank aapke registered mobile aur email id par aapko Confirm kar deta hai.

    Link Aadhaar Number to Bank Account offline

    Jinke Pas Internet Banking ki facility nahi hai Unhe Internet Banking facility le leni chahiye. Yadi Bank hi Internet Banking facility provide nahi karta ho to fir kya kar sakte ho kuchh nahi Only one option Offline Mode.
    Jinke pass Internet Banking ki facility nahi hai wo is approach ko use kar Bank account me Aadhar card Link kar sakte hai :
  • Adhar Card ka Photocpy aur Bank Linking form ke sath Branch me Submit kare.
  • Bank linking aap Branch se le sakte hai ya download karne ke liye click kare.
  • Form ko download kar iska Print nikal le.
  • Correct details fill kare.
  • Passbook se Bank Account Number and IFSC code fill kare.
  • Adhar Card wale Box me Aadhar Number enter kare.
  • Form fill kar Aadhar Card ke Photocopy ke sath ise branch me submit kare.
  • Adhar Card Verify ho jane par aapko suchit kar diya jayega.
NOTE :
  • Bank Account me Mobile Number jaroor Register karwaye.
  • Mobile Number Registered hone se aapko credit / Debit ka bhi Notification aata rahta hai.

Check Aadhar Link Sta

Bank account me Aadhar Card Update hua ki nahi kaise Check kare :
  • Bank me contact kare
  • Branch Visit kare
  • Bank ke toll-free number par call kare
  •   Aadhaar Card Link karne me koi pareshani ho to Comment me poochh sakte hai. Yad abhi tak aapne apna Aadhar Card nahi banwaya hai to jaroor banwa le.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...