Net Banking Kya Hoti Hain or Net Banking Ka Use Kaise Kare hindi main jankari

Net Banking Kya Hoti Hain or Net Banking Ka Use Kaise Kare hindi main jankari



post by:-mahendra raiger


Hello friends pc hindi tricks main aap ka suwagat hai online net banking ya online internet banking ya mobile banking ka naam to aap logo ne suna hoga or bahut se sawal bhi uthate honge man me or aaj ham apko un sabhi sawalo ke jawab dene ke liye ye post lekar aaye hai jisme hamne internet banking,mobile banking,sms banking,kisi application ke dwara paise len den karne ki poori jankari dete hai to chaliye shuru karte hai…

online net banking kya hai or isko kaise use karte hai?

online net banking ka matlab ye hota hai ki ham apne banko ko khud se apne computer me wah sab kuch bina bank jaye kar sakte hai jiske liye hamko bank jana pad jata hai,bahut se aise kaam hote hai jisko karne ke liye hamara poora time bank me nikal jata hai lekin agr hamare pass online net banking hai to bas chutki me kaam ho jate hai,dekhiye aap kya kya kar sakte hai online net banking ke dwara…
  1. online net banking se ham bahut sare kam bina bank jaye kar skate hai credit card ke liye apply,check book ke liye apply,passbook ke liye apply jaise bahut kam aap bina bank jaye hi kar sakte hai..
  2. kabhi kabhi aisa hota hai ki ham bank jate hai or paisa jama kar dete hai elkin hamare passbook par kisi karanvash nahi print karwa pate hai,lekin net banking me aap bina kisi deri ke apna paisa dekh sakte hai ki jama hua ha ya nhi
  3. ap net banking ki help se apne sabhi transaction dekh sakte hai ki kab or kitna jama ya nikala gaya hai
  4. online net banking ke jariye aap kisi rishtedaar dost ya padosi ko bina kisi deri ke turat paise bhej sakte hai.
  5. online net banking se aap online shoping bhi kar sakte hai or paise apke account se cut ho jayenge

online net banking kaise activate kare ?

net banking activate karne ke liye apko apne bank me jana hoga or batana hoga ki aap apni net banking service activate karana chahate hai,chalye pooara process dekhate hai..
  1. sabse pahle apko bank jana hai or unse bolna hai ki apko online net banking activate karni hai
  2. apko ek from diya jayega jisme apko apna naam,pata,mobile number or account number or kuch pahchan ke liye jaise pan card,adhaar card aadi us form ke sath dena hai or jama kar dena hai
  3.  ab apko bank se id password mil jayega(dhyan rakhiye bahut se bank password nahi dete hai apko khud genrate karni hoti hai)or apko us bank ki site par jakar id or password se log in kr lena hai.
  4. ho sakta hai ki login hone ke baad apse kuch details puchi jaye ya fir apka online verification ho,isliye sabhi jankari sahi se bhare,nahi to apko kuch problem face karni pad sakti hai.
  5. online net banking karte samay kisi tarah ki koi pareshani ho to turant bank me report kare or bataye ki apko is chij ki problem ho rahi hai..
  6. aap online net banking ke dwara apna adhaar card bhi jod sakte hai

online net banking dene wale bank ki list:-

online net banking dene walo banks ke naam or unke site usrl ki list niche diya ja raha hai.
1.state bank of indialog in 
2.central bank of indialog in
3.bank of barodalog in 
4.HDFC BANKlog in
5.Punjab National Bank Internet Bankinglog in
6.Canara Banklog in
7.karnatka banklog in
8.icici bank                                log in
note:is list me bahut se aise banks ke naam nahi hai usko bhi aage update kar diya jayega is online net banking ke list me update kar rahenge.

mobile banking kya hai:-

mobile banking me aap wah sabhi kaam kar sakte hai jo aap online net banking ke dwara karte lekin isme hamko kisi computer ki jarurat nhi padti hai bas hamko apne bank ki andorid ya ios application ka use karna hota hai,or ye sari suvidhayen apko apne android phone me bahut hi asani se mil jati hai jaise kisi ko paise bhejna hai,kisi ka mobile recharge karna,dth ka recharge karna,online ticket book karna etc ka use badi hi asani se kar skate hai..

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...