Computer Keyboard Shortcut:Keyboard Shortcuts For Google Chrome

Computer Keyboard Shortcut:Keyboard Shortcuts For Google Chrome

Post by:-Mahendra Raiger

Alt + F

Alt + F  se aapne Computer me jo Bhi program Chalaya Hua hai Uska Menu Option Khul Jayega.


Alt + E

Alt + E se aapke Computer me Jo bhi program chal raha hai uska Edit Option Khul jayega.


Alt + Tab

Alt + Tab se aap Apne computer me khule program ko switch kar sakte hai. Yani Jo program chal raha hai use change kar doosra program chala sakte hai.


F1

F1 se Window me universal Help Khul Jaati hai.


F2

F2 se selected File Ko rename kar sakte hai.


F3

F3 se saari file Find ki ja sakti hain.


F5

F5 se window me jo program chal raha hai use aap refresh kar sakte hai.


Ctrl + N

Ctrl + N se bahut se computer programs me aap New Blank Document Khol sakte hai jaise Microsoft Word, Microsoft Point.


Ctrl + O

Ctrl + O se computer ki kisi program me File Open kar sakte hain.


Ctrl + A

Ctrl + A se aap kisi bhi text ko poora Select kar sakte hai yani Select All ho jayega.


Ctrl + B

Ctrl + B se aap apne Likhe Hue Text ko Bold kar sakte hain.


Ctrl + I

Ctrl + I se aap  apne likhe hue Text ko Italic Text me change kar sakte hai.


Ctrl + U

Ctrl + U se aap Apne Likhe Text ko Underline kar sakte hain.


Ctrl + F

Ctrl + F se Aapne Jo Program Run kiya hua hai Uski Find Window Khul jayegi. Ctrl + F Ms. Word me bahut Useful hai.


Ctrl + G

Ctrl + G se Go To Folder Tool Khul jata hai.


Ctrl + S

Ctrl + S se aap kisi Program ki File ko Save kar sakte hain. Ctrl + S bahut hi common hai bahut si jagah use hota hai.


Ctrl + Z

Ctrl + Z se last Command Undo(Back) ho jati hai.


Ctrl + X (Shift + Del)

Ctrl + X or Shift + Del se aap Apne Likhe text ko Cut kar sakte hain.


Ctrl + C (Ctrl + Ins)

Ctrl + C or Ctrl + Ins se aap apne Likhe Text ko Copy kar sakte hain.


Ctrl + V (Shift + Ins)

Ctrl + V or Shift + Ins se aap Apne Copy kiye gaye text ko Paste kar sakte hai.


Ctrl + K

Ctrl + K se Aap selected Text me hyperlink Add kar sakte hain.


Ctrl + P

Ctrl + P se aap Apne Running Page/ Running Document  ko Print kar sakte hai.


Ctrl + Esc

Ctrl + Ese se aap apna Start Menu Khol sakte hai.


Ctrl + Shift + Esc

Ctrl + Shift + Esc se Window Task Manager Khul jata hai.


Alt + F4

Alt + F4 se Aapka Running Program Band ho jata hai.


Alt + Enter

Alt + Enter se aapke running Program ki Properties Khul jaati hai.

Computer me Special Characters ke Liye Shortcut keys

Alt + 0174
Alt + 0174 se  ® sign banta hai

Alt + 0128
Alt + 0128 se € sign banta hai. Yeh Euro Currency ka Sign hai.

Alt + 0162
Alt + 0162 se  ¢ Symbol banta hai. yeh cent Symbol hai.

Alt + 0163
Alt + 0163 se £ sign banta hai. yeh British Pound Currency ka sign hai.

Alt + 0165
Alt + 0165 se ¥ sign banata hai. Yeh Japanese Yen Currency ka sign hai.

Google Chrome ki shortcut keys


F11
F11 se aapne jo website kholi hui hai veh Full screen me show hone lagegi.

Esc
Esc se aapka Page loading kar raha hai to stop ho jayega. Is se downloading Bhi ruk jaati hai.

Alt + Home
Alt + Home se Homepage Khul jata hai.

Alt + Tab
Alt + Tab se aap apne Browser me Toggle(Chrome me Khule 1 tab se Doosre tab me Change hona) kar sakte hai.

Alt + Left Arrow
Alt + Left Arrow se Google Chrome me Page Back ho jata hai.

Alt + Right Arrow
Alt + Right Arrow se Google Chrome me Page Forward ho jata hai.

Ctrl + +
Ctrl + [ + ] se Zoom Increase(Jada) ho jata hai.

Ctrl + -
Ctrl + [ – ] se Zoom Decrease(Kam) ho jata hai.

Ctrl + 0 
Ctrl + [ 0 ] se Google Chrome ka Zoom Default set ho jata hai.

Ctrl + D
Ctrl + D se Aapke Google Chrome me Jo Page Khula hai veh bookmark ho jata hai.

Ctrl + F
Ctrl + F se Aapke Browser me Find text ka Option Khul jata hai.

Ctrl + H
Ctrl + H se new Window me history Khul jati hai.

Ctrl + J
Ctrl + J se Download Window khul jati hai.

Ctrl + T
Ctrl + T se New Tab Khul jata hai.

Ctrl + U
Ctrl + U se Webpage ka Source Code Khul jata hai.

SpaceBar
Spacebar se Google Chrome me Page Niche Scroll karta hai.

Shift + Spacebar
Shift + Spacebar se Google Chrome me Page Uper Scroll karta hai.

Dosto  mujhe lagta hai ab aap ko keyboard main koi bhi problams nhi aaye gi  agar aap ko ye post achi lagi to comment karke bataye.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...