india ke jane-mane bloggers ki puri jankari hindi main



post by:-mahendra raiger

Hello Dosto,Pure world me sab se jyada hindi samajhne wale india me rehte hai.Or jab ham koi hindi blog banate hai toh 90% se zyada traffic toh hamari country ka hi hota hai.Kyu ki hamari target country india hi hoti hai.Ab jis blog par 95% traffic india ka ho or world me croro websites ke bich me sirf hindi language ke zariye voh blog top position kaise banayega ? Kya yeh possible hai ki 200 country me se hame sirf 1 hi country ke visitors mil rahe ho or ham alexa global ranking me apni top position bana sake 
Yes Boss,It Is Possible.Mujhe yeh baat kehte hue bada garv ho raha hai ki hamare kuch indian hindi bloggers aise hai jinhone pure world me se apni hindi website ke liye ek top jagah banayi hai.Jo kaam kahi saalo tak english bloggers nahi kar pate voh kaam hamare hindi bloggers ne bas kuch hi saalo me kar dikhaya hai.Aaj jo me top bloggers ki baat karne wala hu voh sirf blogging or ranking me top nahi hai voh log sab se jyada top toh logo ki madad (help) karne me hai.

Maine jab se blogging start kiya hai tab se mai Jumedeen bhai ka SupportMeIndia blog padhte aa raha hu.Or aaj tak unhone meri har baat ka jawaab diya hai or fastly help ki hai.Mai toh kya yeh banda aisa hai jo bina thake mere jaise hazaro logo ki raat-din help karta rehta hai.Yeh toh sirf ek example tha jisne meri madad ki thi. Par blogging ki duniya me aisa bahot se hindi bloggers ke naam hai jinhone apne readers ke liye Bahot kuch kiya hai.toh badle me readers ki duao se unhe bhi bahot kuch mila hai.

Mai pichle 6 mahine se blogging line me hu.Or is safar me maine bahot se hindi blog dekhe hai jisme se kuch bloggers apni earning report share karte hai toh kuch bloggers share nahi karte hai.Aaj me aapko kuch aise bloggers ke bare me bhi batauga jo apni highest earning share kar ke new bloggers ko kaam karne ke prerna dete hai.Yeh blogers ka simple rule hai ki zyada se zyada logo ki help karo fir traffic apne aap hi badhta jayega.

8 Powerful Hindi Bloggers In India

  • Yaha Pe kuch aise top 8 hindi bloggers ki list hai jise india me sab se zyada padha jata hai.Yaha di hui list me sabhi bloggers ki mixing list hai.Jisme se kuch bloggers Technology me top hai toh kuch health tips ya Blogging guide me top hai.Jo bhi ho lekin sabhi indians hi hai or sabhi ek hi language me blogging karte hai Hindi.Toh aaiye milte hai hamare Top Hindi Bloggers se.

No.1 Blogger : Gopal Mishra


  • Gopal Bhai ki blogging journey 29 october,2010 me blogspot platform se shuru hui thi.Gopal ji ne MBA complete kiya tha isliye unhe job bhi achi mil gayi thi.Par jaise hi unhone blogging ke bare me jana vaise hi unka blogging ke taraf jyada lagav badh gaya tha.Jis vajah se unhone apni naukri ko chod kar Full time blogging start kar diya.Aur dekhte hi dekhte 5 saal me voh india ke no.1 hindi blogger ban gaye.
  • Website : www.Achikhabar.com
  • Blog Niche : Hindi Stories,Hindi Quotes,Health Tips etc.
  • Page Rank : 3
  • Global Rank : 27,611
  • Country Rank : 2.514

Achhikhabar.com Earning Report :

  • Mr.Gopal Mishra apni earning report share nahi karte hai.Par Unke monthly lakho croro visitors hai jise ham andaza laga sakte hai ki voh ek mahine ka kitna kama lete hai.Mere khyaal se shayad one month ka Total 3 lakh se zyada kamate hoge.

No.2 Blogger : Jumedeen Khan 


  • Jumedeen bhai ne sirf 1 saal ke andar apni website ko top ki position pe pahochaya hai.Yeh ek aisa blogger hai jisme bhukh hai Unki Yeh bhukh sirf logo ki help karne se hi mit sakti hai.isliye unke total 3 blog hai or teeno blog pe ve achi mehnat karte hai.Par unka sab se zyada popular blog SupportMeIndia.com hai.Jispar rozana 30,000+ visitors aate hai or daily kuch na kuch naya sikh ke jate hai.
  • Website : www.Supportmeindia.com
  • Blog Niche : Blogging and Wordpress Guide,Make Money,SEO Tips etc.
  • Global Rank : 39,227
  • Country Rank : 3,728

SupportMeIndia.com Earning Report :

  • Mr.Jumedeen Khan ki income jane ke liye aap har mahine unke blog par visit kar ke pata laga sakte hai pichle month unhone kitni income ki thi.Vaise toh har mahine jumedeen bhai alag-alag paise kamate hai.Lekin zyadatar 70,000 se 80,000 ke bich me unki per month ki income hoti hai.Jumedeen bhai ko income report share karne se high traffic mil jata hai or unke readers bhi khush ho jate hai.

No.3 Blogger : Rohit Mewada 


  • Agar mai blogging ki duniya me aaya toh rohit mewada ki vajah se kyu ki jab mujhe blogging ke bare me kuch nahi pata tha tab sab se pehle maine unki website par hi blogging ke bare me pehla article padha tha.Rohit ji ne engineering ki padhai complete kar ke blogging me apna career banaya.Rohit ji blogging world me pichle 4 saal se jude hai.in 4 saalo me starting ke 1-2 saal toh unhone koi paise kamaye bina hi sirf apne interest ke base par hi blogging kiya hai.Jaisa website ka naam hai HindiMeHelp vaisa hi unka kaam hai Logo ki madad karna.
  • Website : www.Hindimehelp.com
  • Blog Niche : Blogging Tutorial And Guide,Internet Informations,Make Money Tips,Motivation etc.
  • Gloabal Rank : 44,146
  • Country Rank : 4,727

HindiMeHelp.com Earning Report :

  • Hindimehelp ke readers ne hamesha rohit ji se pucha hai ki aapki income kya hai Ya sir aapki income report share kare.Lekin rohit bhai ne kabhi income report share nahi ki par income ke bare me kuch clues zarur bataye hai.Jaise ki unhone kahi baar comment se kaha hai voh itna kama lete hai ki jo chahe voh chiz kharid sakte hai.Ya fir kahi baar aisa kaha hai ki unki monthly income 6 digit me hai yani ki 1 lakh tak kama lete hai.

No.4 Blogger : GyaniPandit

  • Gyanipandit.com india ka best hindi motivation blog hai.Jipar Hindi me biography,history,motivational quotes,slogans,Personality developement,Hindi suvichar etc. ke bare me bataya jata hai.Aaj india me lakho log aise hai jinhe motivation ki jarurat padti hai tab aise log internet par apni problem ke leke koi na koi motivation article ke bare me search karte hai jiski vajah se Gyanipandit apne article se aise bhatke hue logo ko ek nayi raah dikhate hai.
  • Website : www.Gyanipandit.com
  • Blog Niche : Motivation,History,Bio-Graphy etc.
  • Global Rank : 62,567
  • Country Rank : 4,223

GyaniPandit.com Earning Report :

  • Yeh ek motivational blog hai isliye gyanipandit kabhi bhi apni earning report share nahi karte hai.Par hamare andaaz se 1 month ke 60,000 se zyada paise kamate hoge.

No.5 Blogger : Harsh Agarwal


  • Shoutmehindi.com ko 2 log chala rahe hai 1.Harsh Agarwal or 2.Gurmeet Singh Aaj blogging world me Harsh Agarwal ko kon nahi janta ? Aap sabhi jante hai world ka sab se popular english blog Shoutmeloud.com hai jo hamare india me hai or usse harsh agarwal chala rahe hai.Mr.Harsh ne logo ki hindi me help karne ke liye Ek hindi blog creat kiya jiska naam rakha Shoutmehindi.com or dekhte hi dekhte yeh blog bhi shoutmeloud ki tarah pure india me famous ho gaya.
  • Website : www.Shoutmehindi.com
  • Blog Niche : Blogging Guide,Online Earning Tips,SEO Tips,Success Tips etc.
  • Global Rank : 93,503
  • Country Rank : 7,530

ShoutMeHindi.com Earning Report :

  • Mr.Harsh Agarwal shoutmeloud.com par har mahine apni highest earning report share karte hai.Par shoutmehindi.com par earning report share nahi ki hai.Fir bhi harsh agarwal shoutmehindi se 60,000 se zyada toh zarur kamate hoge.

No.6 Blogger : Sushant Chaudhari


kaisekare.in teams members
↓↓

  • Yeh ek aise blogger hai jo apne naam se zyada apni apni website ke liye famous hai.India me mostly har koi inki website kaisekare.in ke bare me janta hai par bahot kam log inka naam jante hai kyu ki jaha bhi dekho inhone kaisekare.in hi likha hai.Yeh site world fomous site wikihow ke jaisi hi hai.Is site pe har tarah ke hindi articles share kiye jate hai.Internet par ham kuch bhi search kare usme mostly kaise kare toh search karte hi hai jiski vajah se is site ko badi aasani se traffic mil jata hai.
  • Website : www.kaisekare.in
  • Blog Niche : Blogging Tips,Health Tips,All about kaise kare tips.
  • Global Rank : 83,853
  • Country Rank : 9,147

KaiseKare.in Earning Report :

  • Sushant ji ne sirf ek baar hi apni site ki earning report share ki thi.Jisme unhone apni ek month ki total income ke bare me bataya tha.Kaisekare site ki one month income 1,41,000 rupess hai.

No.7 Blogger : Nikhil Arora 


  • Yeh ek aise blogger hai jo learn,creat and share me vishwas karte hai.Nikhil arora ne apni writing style se blogging ko ekdam aasan bana diya hai.Jab bhi ham unki website par visit karte hai toh koi na koi unique or nayi jankari prapt hoti hai.Nikhil arora ne abhi kuch mahine pehle hi ek anokhe helping videos ki shuruat ki hai.Jiska naam hai AskVikasShow Episodes.Isme aisa hota hai ki hame koi question puchna hota hai fir nikhil ji sare questions ko collect kar ke ek episode video banate hai or sare sawaalo ke jawaab us video ke zariye de dete hai.
  • Website : www.vikasplus.com
  • Blog Niche : Business Tips,Blogging Guide,Affiliate Marketing,Internet,Make Money,Web design tips etc.
  • Global Rank : 126,448
  • Country Rank : 14,292

VikasPlus.com Earning Report :

  • Nikhil bhai ne kabhi apni earning ke bare me nahi bataya toh ab me aapko kya bata saktu hu.Ha thoda bahut andaza laga sakte hai ki unki income 70,000 ke aaspas honi chahiye.

No.8 Blogger : Pawan Kumar


  • Pawan kumar ko bahut pehle se hindi bhasha me lagav hai.Isliye voh hamesha hindi me hi type kar ke blogging karte hai jiski vajah se agar kisi ko bilkul bhi english na aati ho toh bhi unki site se motivate ho ke kuch na kuch sikh ke jaye.Aapko yeh baat jaan kar aashchrya hoga ki Pawan kumar ek parttime blogger hai fir bhi top ki position pe hai.Inka kaam hai logo ko inspire karna or khud ka dream hai ki aage chal kar veh ek ache scientist bane.
  • Website : www.hindisoch.com
  • Blog Niche : Motivational Stories,Inspirational Stories etc.
  • Global Rank : 95,609
  • Country Rank : 9,459

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
January 1, 2018 at 4:21 AM delete

Thanks bro jo aapne mujhe apni top blogger ki list me shamil kiya. Shukriya.

Reply
avatar

please comment your choice game ...