Blog Par Slideshow Images Kaise Lagay? Blogger Ke Liye hindi me

Blog Par Slideshow Images Kaise Lagay? Blogger Ke Liye  hindi me





post by:-mahendra raiger

Hello friends pc hindi tricks main aap ka suwagat hai to aaj ham is post me slideshow ke bare me jaanenge yani ki hum kis tarah apne blog par slideshow image add kar sakte hai aur apni website blog ko kaise akarshit kar sakte hai. Har koi chahata hai ki uska blog website ekdam hatke aur akarshit dikhe, aur is baat ko dhyan me rakhte huye me aapke liye aisa tarika lekar aaya hu jisse aap apne blog par slideshow image add kar sakte ho. Aapko batadu ye trick 100% work karta hai.

Sabse pahale hum ye jaan lete hai ki slideshow kya hoti hai. Dosto asaan bhasa me kahu to slideshow alag alag images se banaya hua javascript ka program hota hai, jise apne website ya blog par add karne par vo tasvire/images apne aap change hoti rahati hai. Aur ye aapko kai sare websites par dekhne ko milenge. Jadatar user apne letast post ko dikhane ke liye is program ka use karte hai.

Aur hum ye jaan lete hai ki isse hum fayda kya hoga, 

To dosto slideshow image apne blog ya website par add karne se hume 2 tarah ke fayde dekhne ko milenge.

Pahala ye ki jab hum slideshow apne website ya blog pat lagayenge to humari website ya blog aur bhi akarshit dikhai degi aur isse humare visitor ko bhi accha lagega.Aur dusra fayda ye hai ki jab hum slideshow apne website ya blog pat lagayenge to hum apni latest post slideshow me dikha sakte hai aur isse humare visitor ki najar sabse pahale uspar padegi aur vo humari latest post padh payenge.To dosto ab jada waqt na gawate hue hum process start karte hai.

Blog Me Slideshow Image Kaise Add Kare



Usse pahale me aapko ye batadu ki aapko ye kaam dhyan se karna hai aur jada jaldbaji na kare. Kaam shuru karne se pahale aap apne template ka backup jarur le kyo ki ye coding ka kaam hai. To chaliye shuru karte hai.

Step: 1 Sabse pahale aap apne blogger me login kare.

Step: 2 Uske baad aap apne blogger ke dashboard me jakar layout ke unadr chale jaiye.



Step: 3 Ab aap jaha slideshow add karna chahate ho waha par HTML/JavaScriptKa gadget add kar dijiye. Gadget kaise add karte hai ye to aapko pata hi hoga.


Lakin me aapko ek baat batadu aap apne template ke hisaab se gadget add kijiye. Meri mane to home  page par jaha aapke post show hote hai uske upper hi gadget add kare taki aur bhi akarshit dikhe aur slideshow thik tarah se waha feat ho sakte.

Step: 4 Ab aapko is wale link par click karke JavaScript ka code download karna hai aur us code ko copy karna hai. 




Step: 5 Ab is wale code aapne add kiya hua HTML/JavaScript ke undar paste kare.


Step: 6 Ab code ke andar jo 5 red color ke Paste Your Image URL ye wale name hai uske jagah aapko jo image slideshow me add karna chahate ho uska url paste kar dijiye aur uske baad save button par click kar dijiye.

Ab aapka slideshow blog par add ho gaya hai ab aap check kar sakte  ho.

Note:- 1 Apne template ke hisaab se blog par slideshow add kare taki blog par slideshow thik tarah se lage, warna problem ho sakti hai.


2. Aap slideshow me jitney bhi image add karoge to un sabhi images ki hight aur width ek jaisi honi chaiye.

3. Code ko dhyan se edit kare taki koi galti na ho.


To friends is tarah se aap apne blog par slideshow images add karke blog aur bhi akarshit kar sakte ho. Agar aapko ye post pasand aayi to apne dosto ke sath jarur share kare or comment kare thanks you..


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...