How to add your youtube channel to adsense in hindi tricks

how to add your youtube channel to adsense in hindi tricks

post by:-mahendra raiger



Hello friend pc hindi tricks main aap ka suwagat hai agar Aap ne apna ek channel banaya hai youtube par to ye topic aapke liye aaj bahut important hai kyoki koi bhi agar youtube par channel banata hai hai to sabke bavjud kahi na kahi paise kamane ka bhi thoda aim to hota hi hai unka uddesya paise kamane ka bhi hota hai ye bahut hi rare aise log mil jaate hai jinka uddesya logo tak apni baat pahuchana hota hai paise kamana to mai unke baare me baat nahi karne wala jo paise kamane ek uddesya se channel nahi banate. Aaj ham aapko batayenge ki aap apne video ko monitize karke youtube par paise kaise kamaye. to chaliye suru karte hai.


Dhyan rakhe jab aap apne video ko adsense se jodenge tabhi aap paise kama payenge varna aap video kitno hi bana dale aapko ek rupye bhi nahi milega. iss post ko dhyan se padhe aur apne youtube channel yani uske video ko monetize kare monetize karna matlab apne video ko advertises ke liye active karna taki vo aapko paise kama ke de sake.

Mai aapko ek neeche screen shot dikha dunga jisase aap kafi kuchh samajh jayenge to pahle mai aapko ye batadu pahle youtube par hota yah tha ki aap channel banawo aur turant adsense se jod do aur video par ads bhi dikhne lagte the aur earning bhi hone lagti thi maine bhi jab apna channel suru suru me banaya tha to isi tarah apne video ko monetize kiya tha .
Lekin ab youtube ne rule niyam badal ya you kahe ki sakht kar diya hai aur usne rule banaye hai ki tadi aap naya channel banate hai aur uspar video upload karte hai to us video par ya agar kai video apne channel par dal diya hai to total view 10,000 ya usase upar hona chahiye tabhi aap apne channel ko monetize kar sakte hai aur tabhi youtube google adsense ke jariye aapke video par ads dikhayega aur aapki earning hogi.
Ab aap dekh sakte hai maine upar screen shot diya hai yah page aapko aapke channel par jane par milega to aap pahle apne channel me jaye aur fir video manager par click kare aur usme channel ka ek option dikh raha hoga upar screen shot me bhi dekh sakte hai uspar click kare fir ek list jaisi khul jayegi usme aapko monetization ka option dikhega upar screen shot me dekhe aur uspar click kare.
Click karte hi aap apne channel ko adsense se jodane wale Page par aa jayenge aur fir aap vaha ek start ka neele rang ka button dekhenge uspar click kare lekin isase pahle yah dekh le ki aap ka video 10,000 view le chuka hai ya nahi agar aapke channel ka total view 10,000 ya usase upar hai tabhi aap isake liye eligible hai.
Agar aapke channel par 10,000 view ho chuka hai to aap upar bataye gaye step se apne video par ads enable kar sakte hai aur aapki earning suru ho jayegi. yah bahut hi aasan hai bas aapko uss page par pahuchana hai jo maine upar screen shot me dikhya hai aur usase pahle aapko apne channel par 10,000 view lena hai.
to aapko yah post kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapka koi sawal ho to bhi aap comment karke hamse puch sakte hai ham jald se jald reply karenge aur ise aap apne social site par share bhi kar sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...