Google Adsense se jyada Paisa kaise kamaye in hindi tricks

Google Adsense se jyada Paisa kaise kamaye in hindi tricks







post by:-mahendra raiger

Hello friend pc hindi tricks main aap ka suwagat hai to Aaj hum Google Adsense ki policy ke bare me discuss karenge aur vo bhi Hindi me. Maine Kai bar Google Adsense ki policy ke bare me Hindi me search kiya but mujhe Adsense policy ko hindi me search karne me bahut pareshani hui. Mai yah chahta hu ki jitni pareshani muje hui utni pareshani aapko na ho, iske liye maine aapke liye yah post (Google Adsense Policy in Hindi) likhi hai. Ise dhyan se padhe aur  achhi lage to comment jarur kare. Mere pas daily kai sare mail aate hai ki aap hume Google Adsense Policy ko Hindi me samjhae. 

To aap logo se pahle to mai sorry kehna chahunga ki mujhe yah post likhne me thoda time lag gya. To chaliye hum samajhte hai Google Adsense Policy ke bare me.

Google Adsense Policy ko janne se pahle yah jaruri hai ki aapko is Bat ka pata ho ki Google Adsense kya hai.

Kya hoti hai Google Adsense Policy
pahle bat to mai aapko clear kar du ki aaj ki generation me 95% logo ke blogging karne ka aim yahi rahta hai ki online business ya online earning karna. Yadi aap  ek blog ya website ke owner hai aur Google ke Ads apni website par display karvana chahte hai to iske liye aapko pahle Google Adsense ki policy ke bare me achhe se jankari honi chahiye. Google har kisi blog ya website ko easily Ads nahi deta hai.
Hume Apne Blog ke liye Ads kaise milenge

 Mai aapko apni real life ka ek example dena chahta hu, jaise ki ek Multi-National-Company jagah jagah alag alag cities me apne Banner lagwati hai, Flex banvakr lagvati hai. To iska matlab yah nahi ki company ka owner khud us city me chal kar jae aur vaha Ads lagae. Sabse pahle vah company Famous Advertisement companies se contact karti hai. Aur fir inki deal hone ke bad vah Advertisement company Apne hisab se jagah jagah Ads lagati hai.

  To isi tarah aaj Internet par bhi yahi trade bana hua hai. Advertiser jise ki aisi websites ki jarurat rehti hai jin par regular achha khasa traffic aata ho. Aur jin webistes ranks achhi ho. Aisi Websites ya blog ki requiremnets har ek publisher ko hoti hai. jisse ki ve apne Ads un websites/Blogs par display karva sake. Iske lilye publisher directly Website/Blog ke owner ke contact nahi karte ve Google Adword se contact karke deal karte hai. iske liye Publishers Google Adwords ko pay karte hai. Aur Google Adwords ko jo ads milte hai, Google Adsense ki help se ve Ads un websites ya Blogs par dale jate hai jin websites/Blog par achha khasa traffic aata ho.


It means Yadi hume apne blog ya website par Google Ads chahiye to iske liye jaruri hai ki humara blog/website Google Policy ko follow karta ho. Yadi humara blog ya website Google Policy ko follow karega tabhi hume Google se Ads milenge aur iske bad Ghar baithe online humara earning start ho jaegi.


Publisher - Company jisko apne products ki Ads karna haiAdvertiser - Blog ya website ka owner,jo apne blog par ads daleTraffic -Users jo humari website par click karte h,visitors kahte hai




Google Polciy Hindi me
Kai bar kya hota hai ki Humare blog par achha khasa traffic aana shuru ho jata hai , jiske bad Google Adsense humare blog ko Ads ke liye approve kar deta hai. Iske bad hum apne blog par Ads display karva sakte hai. Lekin kabhi kabhi suddenly humara Adsense disapproved ho jata hai. Yadi aap Google Adsense ki policy ko follow karte hai to aapko kisi type ki koi problem nahi hog.



  1. Apne Blog/Website me display hone wale Ads par kabhi bhi galti se bhi click na kare.
  2. Apne Blog me aisa koi code na dale jisse ki apne hi Ads par automatically click hote rahe.
  3. Kabhi bhi apne friend circle ya relatives ya kisi bhi other person se apne Ads par click karne ke liy na kahe aur na hi kisi ko click karne ke liye force kare.
  4. Apne Ads par click karne ke liye kisi ko bhi reward ya offer na de. Jaise ki- "Click here and download this this file etc". 
  5. Visitors ko Apne Ads par click karne ke liye koi heading na dale. For Example - "Join Us" , "Support us", "Favourite Sites", "Visit This Link(s)" etc. In sari baato ko Adsense accept nahi karta hai. Aur yadi aapne jabarjasti apna dimag lagaya to aapke liye problem create ho sakti hai. Because Google ko sabkuch pata rehta hai ki user kaha se aapki webiste/blog par aa rha hai. User kya kar rha hai, publisher kya kar rha hai etc.
  6.  Kabhi bhi aap porn content, gambling content, hacking content ya aisa koi content apne blog par na dale jisse ki aapka blog negative content me aae. yadi aap aisa karte hai to bhi Google Adsense aapko dis approved kar sakta hai.
  7. Aap kisi ka content copy karke apne blog par nahi dal sakte hai. Means aapke content ka copy write aapke pas hona chahiye. kisi ke content ki chori kabhi nahi kare. Aur aisa bhi nahi kare ki kahi or se content copy karke usme thoda bahut changes karke aapne apne blog par dal diya ho. Yah sabhi baate google ko pata chal jati hai.
  8. kabhi bhi drugs, tobacco, smoking, alcohol, beer ki selling se related content apne blog par na dalein.
  9. Aap apne blog ke liye kabhi bhi PTC sites ka use nahi kar sakte. Jaise ki kai sari sites click to earn ka options apne users ko deti hai to aisi sites par bhi aap apne blog link nahi de sakte. Kyu ki aisi jagah par click karna users ki majburi hoti hai. vha par click karne se user ko paisa milta hai. Means never force user to navigate to your blog or website.
  10. Aap apne ads ka code aisi jagah na dale jisse ki user dusri koi unwanted websites pr navigate ho , ya fir pop-up(s)/under(s) windows me bhi Ads ka code dalna aapke blog ke liye thik nahi hota.
  11.  Aise Pages jinme aapne koi content ya text nahi dala hua hai, aise pages me aap Ads nahi dal sakte hai.
  12. aapko ye post kaisi lagi aap hame comment karke bata sakte hai  thanks you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...