फेसबुक से अपना मोबाइल नंबर कैसे डिलीट पूरी जानकारी हिंदी मैं
post by:-MAHENDRA RAIGER
Facebook to hum sabhi use karte hai. Inme se kuch log thora jada aur kuch log kabhi time mile to social networking site facebook ko istemal karte hai.
Lekin kahi na kahi hum sabhi ke maan me Facebook Privacy ko lekar ek daar hamesha bana rehata he aur is baat se kyi inkar nehi kar sakta. lekin Fcebook par kuch basic chize hai jisko istemal karke aap facebook account ki Privacy suraksit rakh sakte hai. Jese ki Facebook ki security increase karna, Danger friends ko block karna aur Facebook se mobile no hide karna. aaj is article me main aapko bataunga ki Facebook se mobile number kaise hataye.
Mobile number hamare life ki ek important chiz hota hai. aise me agar aapke mobile number kisi galat vakti ke hat lag jayega to aap problems me par sakte hai. Mobile number pata chalne par wo aapko phone kar ke paresan kar sakte he aur aise logo ki kyi kami neni he jinhe dusro ko paresan karne me jada maza aata hai. Agar aap ek lady ho to apko aur bhi jada problems ho sakte he. Qki facebook par aise boys ki kyi kami nehi hai jo Ladkio ki number pata karne ki koushis karte rahte hai. is liye Facebook se mobile number chupana bohot jorori hota hai
Facebook se mobile number na hatane par aapko sirf bad boys se khatra nehi he facebook par aise kuch Gangs bhi mojud he jo logo ke number pata karke uspar Span Massages send karte hai. Jese ki apne 10 million dollars ka lottery jita hai, jesa ki muje aaya tha. Mobile number se apki bank details janne ki koushis kar sakte he. aise hi kuch chize he jis liye hume facebook se mobile no hata dena chahiye. To chaliye dekhte he Facebook profile se mobile number kaise hataya jata he, mera matlab mobile number chupaya jata hai.
Facebook Se Apna Mobile Number Kaise Chupaye
Facebook profile se mobile no hide karne ke liye niche diye step follow kare. Yeha par mai aapko Fb APP aur Computer dono se Mobile no kaise chupaya jata he ye image ke sath dikhaunga.
Fb App Se Mobile No Kaise Hataye
Step-1:- To sabse pahle aap Facebook App open karle. Facebook App open karke Menu par click karke aapni Profile par jaiye.
⏬
Step-2:- Facebook Profile par apko About par Tab karna hai.
⏬
Step-3:- Ab apko Contact Info par jana hoga.
⏬
Step-4:- Yeha apko CONTACT INFO section ke EDIT par click karna hai.
⏬
Step-5:- Ab aap mobile number par Only me select karde. only me karne se aapki mobile number sirf aapko hi dekhega.
⏬
Computer Se Mobile Number Kaise Chupaye
Step-1:- sabse pehle aap apni computer browser me jake www.Facebook.com open karke apni facebook account ko Login kare.
Step-2:- Ab aapko facebook Profile par jana hoag. niche image me dekh sakte ho.
Step-3:- profile par jake apko About par click karna hai.
Step-5:- ab jo page khulega uspe apki sari contact information jese ki Mobile number aur Email id hoga. Apko mobile number Hide karna hai is liye Mobile number ke last me Edit ka option he uspar click kare.
⏬
Step-6:- Edit par click karne ke bad Mobile number ke niche ek chota sa 🌑 ▽ (1) show hoga uspar click karke 🔒Only me (2) ko select karle.
⏬
Step-7:- ab aapko Save Changes par click karke save kar lena hai.
⏬
Congratulations! apke facebook profile main ab aapke mobile number show nhi honge agar aap ko facebook ke bare main or koi jankari cahiye to comment karke ham se puch sakte hai thanks for reading this post..
please comment your choice game ...