How To Create Twitter Account in Hindi Me Puri Jankari
Hello friend ek baat feer se aapka pc hindi tricks main aap bhut- bhut suwagat hai to friends aaj ham janege ki kaise twitter par apne acounts banate hai Jaise other social networking site’s par hum apne thoughts ko apni feelings ko ya apni kisi baat ko share karne ke liye post publish karte hai usi tarah twitter par apni baat ko kahne ke liye hum tweet ki madad lete hai bas yha par fark sirf etna hai ki twitter par ham sirf 140 words ke andar hi apni baat apne followers tak pahucha sakte hai . Twitter par tweet karne ke liye aapko twitter home page par dikh rakhe blue colour ke logo par click karna hoga aur 140 words me apni baat ko likh kar tweet par click karna hoga . Tweet karte vakt aap es par photo , Video , gif etc bhi upload kar sakte hai.
2. Twitter par kisi ko Follow kaise kare ?
Twitter par kisi ko Follow karne ke liye sabse pahle twitter Search box par uska name search kare jise aap Follow karna chahte hai . Ab next page us follower ki id show hogi usi ke thik samne par aapko Follow buttondikhayi dega us par click kar dijiye ab aap us follower ke tweet padh sakte hai aur un par apne react bhi de sakte hai .
3. Retweet kaise karte hai ?
Agar aapko apne followers ka koyi tweet pasand aata hai toh tweet
ke niche dikh rahe Retweet ke option par click karke aap us tweet
ko apne baki followers ke sath share kar sakte hai . Agar aap uske tweet ke sath apni taraf se kuch caption likhna chahe to retweet ke options par click karne ke bad Quote tweet ko select kare .
4. Twitter par reply kaise kare ?
Kisi ke tweet ka reply karne ke liye aap simply tweet ke niche bane reply ke option par click kare . ab apna reply type kare aur send par click kar de.
5. Tweet ko like kaise kare ?
Kisi ke tweet ko like karne ke liye simply tweet ke niche bane heart ke logo par click kar de . Like ho jane par yh heart ka logo pink colour ka ho jayega .
6. Twitter par private massage kaise bheje?
Agar aap kisi ko twitter par Private msg send karna chahe twitter par Right side Me bane msg logo par click kare . Ab jis bhi follower ko aapne msg karna uska naam search karke Use select kare aur msg type karne ke baad send par click kare.
7. Twitter Hastag kya hai .
Twitter par aapne hashtag ka naam to suna hi hoga . Par kya aap jante hai yh hashtag kya hai aur eska use kaise kiya jata hai . Simple language me samjhaya jaye to # (hash) ke aage likhe gaye kisi bhi word ko us #(hash) ka tag kaha jata hai. eski sabse badi khasiyat yh hai ki #(hash) eske aage likhe gaye word ko link me convert kar deta hai . Jisse es link par click karne me hamko usse related sabhi link dhikhayi dene lagte hai . Example for agar me #Happydiwali likhkar tweet karu to baki jitne bhi tweet #Happydiwali lagakar tweet kiye gaye honge vh sab show ho jayenge . Twitter par yh Hashtag kafi popular hai aap bhi eska use karke Twitter ka mazaa le sakte hai.
Twitter par profile Set up kaise kare ?
Twitter par new account kholne ke bad sabse pahla kam apni profile ko set up karna hota hai . Profile Set up ka matlab hai Twitter profile me apni kuch personal information add karna jisse aapke followers aapke bare me kuch jaan sake . To chaliye Step bay step Twitter profile set up karna sikhte hai .
1. Sabse pahle twitter par login kare aur apni profile ko open kar le.
2. Ab Set up profile ke option par click kare .
To es tarah se aap apni twitter profile ko set karke use attractive bana sakte hai .
please comment your choice game ...