Android phone Me Software Dalne Ka Tarika . Ek Din Mai Apne Ek Khrab Huye Memory Card Se Kuch Important File Data Apne Computer Me Recover Karne Ki Kosis Kar Raha Tha . Jiske Liye Mai Bar-bar Ek Mobile se Dusre Device Me Card Laga Raha Tha . Bar-Bar Phone Ko Switch-off-on Karne ki Wajha Se Mera Device Brick Ho Gaya . Aage Jane Ki Mobile Me Software Kaise Dale .
Toh Ab Mujhe Mobile Ko Repair Karwane Ke Liye Shop Par Jana Tha Lekin Maine Socha Kyu Na Mai 150-200 Rupay Kharch Kiye Bina Ghar Par Hi Software Dalu . Ab Maine Uss Software Ka Bhi Pata Laga Liya Jisse Phone Ko On Nahi Hone Par Fir Se Unbrick Kar Sake . Toh Maine Uss Method Se Kuch Hi Mintue Me Apne Mobile Ko Fir Se On Kar Diya . Ab Mai Aapko Iske Baare Me Complete Jankari Dunga .
Phele Toh Hamko Ye Pata Lagana Hona Ki Mobile Brick / Kharab Kis Karan Se Huaa Hain Aor Usme Kya Problem Aayi Hai . Seedha Sa Matlab Hai Agar Phone Died Ho Jaye Toh Use Sudar Nahi Sakte Lekin Agar Software Udd Jaye Toh Usme Ham Fir Se Dal Sakte Hain .
Chahe Hamare Pass Koisa Bhi Company Ka Mobile Kyu Na Ho Jaise Nokia , Samsung , Lava , Lg , Carbon , Micromax , Other . Ham Usme Simple Tarike Se Software Dal Sakte Hain . Iska Process Same Waise Hi Hai Jaise Computer Me Window Install Karte Hai .
Android Mobile Phone Me Software kaise Dalte Hai isKe Liye Aapko Kis-Kis Chiz Ki Jarurat Hogi jiski Jankari Mai Aapko Bata Raha hu .
Android Mobile Phone Me Software kaise Dalte Hai isKe Liye Aapko Kis-Kis Chiz Ki Jarurat Hogi jiski Jankari Mai Aapko Bata Raha hu .
1. Laptop Yaa Computer
2. Aapke Handset Ke Modal Number Ka ” STOCK ROM FIRMWARE Flash File”
3. USB Driver For Android
4. Flash Tool File
5. Usb Cable
2. Aapke Handset Ke Modal Number Ka ” STOCK ROM FIRMWARE Flash File”
3. USB Driver For Android
4. Flash Tool File
5. Usb Cable
Mobile Me Software Kaise Dale Step By Step Puri Jankari
1.
First Google Search Se Apne Phone Ki Stock Rom Firmware Flash File Download Kare . Example Ke Liye Simple Tarika
Download For Samsung Galaxy All Version –> Click-Here
All Nokia Or Other Device Ke Liye Google Me Search kare !
Kuch Iss Trha
Ex :- Micromax Stock Rom Fireware Flash Download
Ex :- Micromax Stock Rom Fireware Flash Download
2.
Ab Usb Driver Download Karke Pc Me Install Kariye
For Samsung –> Click-Here
Click-HereOther ke Liye –>
3.
Last Ab Sp Flash Tool Aor Download Karna Hoga
Window Ke Liye –>. Click-Here
Linux ke Liye –> Click-Here
Ab Aapko Inhe Download karne Ke Baad Kuch Kaam Aor Karna Hain Jinke Baare Me Mai Bata Raha Hu
* jo Stock Rom firmware Hai Usko Phele Zip File Se Unzip Kare Aor New Folder Me Dale .
* Usb Driver Ko Computer Me Install Karle .
* Ab Last Me Ek File Bachi Hain flash Tool usko Phele Extract Karke EXE File Ko Open Kare . Jaise Hi Aap Open Karenge Ek Download ka Button Aayga Uspe Click Kare .
Teeno File Ka Kaam Complete Hone Ke Baad Ab Ham Last Step Par Hain . Ab Yaha Se Aapko Thora Dhyan Se Samjna Hoga .
1. Ab Apne Mobile Me Se Sab Kuch Bahar Nikal Ke Usb Ki Sahayta Se Computer Se Connect Kar De .
2. Jo Aapne Flash Tool Se download Kiya Tha Uska Name Scatter File Hoga . Usko Dund Ke Uspe Click Kare .
3. Scatter File Open Hone Ke Baad 2 Bar Next Ka Button Aayga Unpe Click Karke Next 2 Step Complete karle .
4. Ab Aap seedhe Stock Rom Ke Andar Pauch Jayge Jaha Par Aapko ” Process To Continue ” Par Click Karna Hoga .
5. 4-5 Second Baad Ek Green Symble Aayga Aor Software Phone Me Install Hona Start Ho Jayga .
6. 100% Complete hone Ke baad Apne Mobile Ko Usb Se Hata Kar Switch On Karke Dekhe Aapka Phone On Ho Gaya Hain .
Carefully friends Android Phone Me Software Kaise Dale/Mare Aor Uska Tarika , Friends Jaha Tak Mujhe Pata Hain aapko Ye Article Ab Samaj Me Nahi Aaya Hoga Lekin Agar Aap Iss Post Ko 2-3 Bar Read Karenge Toh Aapko Puri Progress Samaj Me Aa Jaygi .
Lekin Mai Yaha Ek Baat Batana Chahta Hu Ki Agar Aapko Ye Puri Progress Complete Samaj Me Aa Jaye Tabhi Aap Sabhi Software Download kare . Kahi Esa Na Ho Aap MB Data Bhi Kharch Karde Aor Kaam Bhi Pura nahi Ho .
please comment your choice game ...