Android Mobile Me Multiscreen Use Kaie Kare
Hi dosto kaise ho pc hindi tricks main aap ka sugat hai mera naam mahendra he to Dosto me aapke liye ek majedar trick leke aaya hun jisse aap apne mobile ko computer jaisi feeling de sakte ho. Ha dosto ye sach hain, maine badi research karke aapke liye ek aisi application dhundi hain hain jiska use karke aap apne mobile ko computer jaise feeling de sakte hain.
Ye app keval timepass ke liye nahi hain, is app se aap apna time aur kaam dono bacha sakte ho. Jiase ki hume pata hain computer me hum ek sath kahi sare kaam kar sakte hain, matlab multiple task open karke alag alag kaam kar sakte hain. Maan lo aap facebook par kaam kar rahe hain agar aapko movie bhi dekhna hain to aap kya karoge? Simple si baat hain aap computer me movie plya karke aur movie ki size kam karke dekh sakte hoaur saath me apna kaam bhi kar sakte ho. Aisa hi is app main hain, aap is app ki madat se computer jaisi feeling de sakte ho. Is app ko lagbhag 500,000+ logo ne download kiya hain
Is app ka naam hain Floating Apps Free- Multiask. Aur ye app abhi abhi 2017 me lounched huva hain. Aur ye app bahut kam mb ka hain lagbhag 15 MB.
1. Is App Ka Fayda Kya Hain :-
- Is app se aap facebook chalane ke sath movie bhi dekh sakte ho.
- Ø Is app se movie dekhne ke sath whatsapp bhi chala sakte ho..
- Ø Is app se Internet ke sath sath whatsapp, music chala sakte ho.
- Ø Is app se aap do do moviles ek sath chala sakte ho.
- Ø Is app se aap alag alag browsers se ek sath internet chala sakte ho.
- Ø Is app me aap ek sath kai task open kar sakte ho.
Dosto ye app lounch huve 30 ya 35 din ho chuke hain aur itne dino main 500,000+ downloads ho chucke hain. To Isse pata chalta hain ki ye app kitna majedar hain.
To chaliye jaada time west na karte huye Floating Apps Free- Multiask app ka use kaise karte hain ye jaante hain.
2.Floating Apps Free- Multiask Ka Use Kaise Kare?
Step: 1 Sbse pahale Floating Apps Free- Multiask naam ka app download kare. App download karne ke liye yaha click kare <<DownloadNow>>
Step: 2 App download karne ke baad use install kare.
Step: 3 App Install karne ke baad use open kare. App open karne ke baad kuch is tarah dikhai dega.
Step: 4 To aapko kya karna hain 6 baar skip karna hain, Aur uske baad Close button par kar dena hain.
Step: 5 Ab aapke saamne ek screen open hogi, us screen me app ki puri information hogi, to us screen ke niche aapko phir se close naam ka button dikhai dega to us button par click kar dijiye.
Step: 6 Ab aapke saamne aapke mobile ke features honge aapko jis feature ko multi task ke rup me chalane hain usar click kar dijiye. Example ke tour par me Application par click karta hun.
Step: 7 Application par click karne ke baad aapke saamne ek aisi screen open hogi. Us screen me se aap koi bhi application chala sakte ho. Aapko dikhane ke liye me Video Player par click kar deta hun.
Step: 8 Video Player par click karne ke baad aapke saamne file maneger open hogi, jaha par aapka video hain us location par jakar video play kare. Aur video play hone ke baad is tarah dikhai dega. To video ki file chodkar pura application exit kar de aura alag alag application open karke dekhe. Aapka video chalta rahega.
Aap keval video hi nahi kais are application ka use kar sakte hain. Ye app bahut hu majedar hain aap ise jarur download kare, main is app ki link post me di hain us link par click karke app download kare.
To dosto agar aapko ye trick achi lagi hogi to please aapke dosto ke sath jarur share kare taki unhe bhi pata chale, aur iske sath whatsapp, facebook, twitter, hike, google jaise social sites par bhi aap share kare.
please comment your choice game ...