Youtube videos ko copy right kaise karte hai hindi tricks

Youtube videos ko copy right kaise karte hai hindi tricks


hello friend my name is mahendra to aaj ham bat karenge ki YouTube ke video copy kaise kare? Dusro Ke YouTube video se paise kaise kamate hai? Dusro ke YouTube videos use karke apne channel par kaise upload kare vo bhi legal tarike se? aise sawal sabhi YouTuber ke man me aata hai. Dosto jaise ki hum jaante hai ki YouTube par copy karna kitna bada gunha hai yani ki hum kisi ka youtube video copy karke apne channel par dalte hai to us channel ka owner humare khilaf complaint kar sakta hai aur humne jo video upload kiya tha vo video YouTube delete kar deta hai. agar hum baar baar wahi galti doharate hai to YouTube humesha ke liye humara channel band kar deta hai. Lekin itna sabkuch hone ke bavajud bhi log puchte hai ki dusro ke YouTube videos kaise copy kare vo bhi legal tarike se, To chaliye me aapko bata hi deta hu ki dusro ke YouTube videos kaise copy kare vo bhi legal tarie se.

 To dosto aaj me aapko aisa ek tarika batane wala hu jiska istamal karke aap Dusro ke YouTube videos apne YouTube channel par upload kar sakte ho vo bhi bilkul legal tarike se itna hi nahi aap isse paise bhi kama sakte ho.  Agar aapko lagta hai ki aisa karne par YouTube aapka channel band kar dega ya phir  us video ka malik humare khilaf complaint kar dega, to dosto aisa kuch bhi nahi hone wala qki isse YouTube aur Video owner ko kuch problem nahi hogi balki jis channel ka aap video copy karne wale hai us channel ka owner bhi yahi chahata hai ki uska video dusre bhi use kare aur YouTube copy karne walo ke khilaf koi action nahi leta. Jab video ka owner apne channel par video upload karta hai to vo khud advance setting me jakar allow kar deta hai ki uska video koi bhi use kar sakta hai.


Dusro Ke YouTube Videos Copy Kyu Kare?

Dusro ke YouTube videos copy kyu kare? Iska shida sa jawab hai ki jab koi new YouTuberhota hai ya phir jin users ko YouTubechannel banana hota hai unhe pata hi nahi hota ki youtube video kasie banate hai ya phir unke pass koi idea nahi hota ki hum kis topic par video banaye. jin logo ke pass idea hota hai unke pass youtube video banana ke koi software nahi hote ya phir unke computer me software support nahi karte. Aise logo ko youtube ne ek free service di hai jinhe hume legal tarike se follow karna hota hai. Lekinn dosto iske bhi kuch rules hote hai jise aapko legal tarike se follow karna hota hai, to chaliye jaante hai ki vo rules kya hai.


Rules:- 

1. Hum sabhi Videos copy nahi kar sakte jin video par allow kiya hai wahi copy kar sakte hai.

2 .Dusro ke Videos download karke phir se apne channel par upload nahi kar sakte aapko jo karna hai aap Youtube Video Editor me kar sakte ho anhi to aapka video copyright mana jayega.

3 .Jaisa video hai vaisa ka vaisa video apne channel par hum load nahi kar sakte uske liye aapko YouTube Video Editor ke madat se thoda bahut chenges kar sakte ho jaise ki Mp3 add karna, photo add karna, slideshow banana aisa kuch hum kar sakte hai.

YouTube Video Editor Kya Hai?

YouTube Video editor ye ek YouTube ki hi service hai bjiski madat se hum YouTube par hi apne videos ko asaani se edit kar sakte hai. YouTube video editor me ek aur khas baat hai jisme hum koi bhi free videos apne channel par use kar sakte ho srif video hi nahi hum mp3 bhi use kar sakte hai.
Jaise ki maine bataya ki aap duro ke videos download karke apne youtube channel par upload nahi kar sakte nahi to vo video copyright mana jayega aapko jo karna hai vo aap YouTube video editor me kar sakte ho. Aapko jo free video use karna hai vo video YouTube editor me search karke wahi par use kar sakte ho aur bina download kiye apne youtube channel par laga sakte ho.

Hum Kis Tarah Ke Video Use Kar Sakte Hai?


Step: 1 Sabse pahale aap YouTube par login kare.

Step: 2 Login karne ke baad Right side me upper wale kone me aapke channel par click kare Creator Studio par jaye.

Step: 3 Aur uske baad left side me Create option par click kare. Aur uske baad wahi Video Editor naam ka option open hoga to aap uspar click kare


Step: 4 Ab aapke saamne YouTube video editor page khulega aap waha par free youtube videos, mp3 search karke edit kar sakte ho magar dhyaan rahe aapko video download nahi karna h22442/ai, aapko wahi video search karna hai aur wahi edit karna hai uske uske baad wahi aapne channel par video load karna hai.

No. 1 CC option par click kare.

No. 2 Aur uske baad aapko waha par search box dikhaidega usme aapko jo video serach karna hai vo search kare.

No. 3 Video kaise search karte hai uske liye number 3 dekhe

No. 4 Video search karne ke baad number  4 option dekhe aapko waha par bahut sare videos show honge aap koi bhi ek video par 2 baar click karke left side me uska preview dekh sakte ho.

No. 5 Video edit karne ke liye number 4 me jo videos hai jo aapne search kiya hai unme se jo aapko edit karna hai upar aap ek baar click and hold karke Number 5 ki taraf lekar aaye. Ab aapwaha par apne hisab se video editkar sakte ho. Edit karne ke baad Create Video button par click karke vo video apne channel par apne aap load ho jayega.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

please comment your choice game ...