मेमोरी कार्ड (sd) से एंड्राइड मोबाइल की ram कैसे बढाये हिन्दी मैं जानकारी

मेमोरी कार्ड (sd) से  एंड्राइड मोबाइल की  ram कैसे बढाये 






post by :-mahendra raiger



Dosto agar aap android mobile ka use karte hai or aapke phone ki RAM bahut kam hai or is wajah jyada big size wale games or application aap aapne smartphone mai nahi chala pate hai, Phone me bar bar hanging problem ka hona. Low RAM ki wajah se phone bahut slow chalta hai to aaj ki ye post aap ke liye bahut kam ki sabit hogi.



Android mobile me increase ram kaise karte hai SD Card ki madad se iska trick share kar raha hu. Kam RAM wale Android phone me SD Card ko RAM bana kar mobile ka RAM ko badaya ja sakta hai or phone ki performance fast kar sakte hai. Chahe aapka phone old modal hi kiyu na ho. Agar apke smartphone ki ram 512MB hai to memory card se mobile ram 1gb, 2gb ya jitna chahe ram ko bada sakte hai.

Android Phone ki RAM badane ki jo jankari me aapko bata raha hu usme ek apps ROEHSOFT RAM EXPANDER madad se SD Card ko RAM bana kar phone ke ram ko increase karte hai. Yah Apps SD Card ko 2 bhag me bant kar ek bhag ko Android Mobile Phone me RAM bana deta hai. RAM badane ke liye phone ke SD Card me kam se kam 2gb ka Free space hona chiye. Agar aapke Phone ke SD Card me 2gb free space hai to SD Card ko kaise RAM bana kar use kar sakte hai.



Android mobile ka RAM badane ke liye hamare pass 3 chije ka hona jaruri hai.

1. Root kiya huwa Android Mobile Phone.

2. Roehsoft RAM Expander Apps.



3. Kam se kam 4GB ka SD Card(Memory Card)

to start karte hai step by step aap mujhe follow kar 

agar aap ko root karna nhi aata hai to aap is link par jaker is post ko phad sakte ho .

Step 1. Sabse pahle apne Rooted Android Mobile me Roehsoft RAM Expander Apps Download kar ke install kare or phone ko restart kare.




Step 2. Phone Restart karne ke bad phone me Roehsoft RAM Expander App ko open kare. Or isme sabse upar ki green colur ki line SwpFile usme jo Dot hai usko right side ki taraf khiche(drag) kare. Aapko jitni MB ya GB RAM karne hai is line ke Dot ko utna khiche(drag) kare.




Step 3. Ab niche dusri green line Swappiness hai is par bhi ek Dot hai is Dot ko pura Right Side me khiche(darge) kare. Or upar ki taraf Swap Active ka button hai is par click kare.

Step 4. Jaise hi aap Swap Active button par click karenge Swap File create hona suru ho jayega or Swap File create hone tak ka wait kare.



Step 5. Jub Swap File 100% create ho jaye iske bad phone me sabhi open apps ko close kar de or phone ko Restart kare.

Ab SD Card Android Mobile ka RAM ban chuka hai Or aapke Android mobile ka RAM increase ho gayi hai. Yah badi hui RAM aapke phone ki setting me show nahi hoga kiyu ki is trick seAndroid Phone ki vertual RAM badti hai. Phone ki setting me ye RAM kabhi show nahi hoga par aapke phone ki speed fast jarur ho jayegi.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
December 22, 2017 at 11:28 AM delete

Your blog is awesome and information too. Windows 10 ka activation code mil sakta hai kya?

Thanks Team secure2pc
http://www.secure2pc.com/laptop-repair-services/dhanori-pune.html

Reply
avatar
December 25, 2017 at 1:57 AM delete

hi ganesh you want windows 10 activation key download kms activator for windows 10

Reply
avatar

please comment your choice game ...