windows 7 CMD hacking
Hello friend pc hindi tricks main aap ka swagat hai to Aaj Me Apko Is Post Me Kuch Aise Hacking Commands Ke Bare Me Bataunga Jinhe Duniyabhar Me Hacking Ke Liye Bahut He Jyada Use Kiya Jata Hai.
Hacking Ajkal Ik Bahut He Comman Word Ho Gaya Hai Or Jaha Bhi Hacking Word Aata Hai Log Uske Bare Me Janne Ke Liye Bahut Interested Rehte Hai.
Hacking Kya Hoti Hai, Hacking Kaise Karte Hai Jaise Points Ko Log Bahut He Deeply Padhte Hai Or Aajkal Bahut Se Log Hacking Ke Bare Me Jante Bhi Hai Is Post Me Mai Apko Bataunga Aise He Kuch Cmd Hacking Commands Ke Bare Me Jo Hacking Me Bahut He Jyada Use Ke Jati Hai.
To Chaliye Friends Jante Hai Aise He Kuch Mostly Used Cmd Hacking Commands Ke Bare Me.
1. Tracert Command For Route Checker.
Friends Agar Aap Kisi Bhi Website Ka Route Check Karna Chahte Hai To Apko Apne Computer Me Command Prompt Ko Open Karna Hai Or Usme Tracert Www.kisi bhi site ka naam.Com Type Karke Enter Karna Hai.
Enter Karte He Apke Samne Us Site Ka Route Show Ho Jayega.
2. Nslookup Command For Find Ip Address With Server Address.
Nslookup Command Ik Aise Cmd Hacking Command Hai Jo Hacking Me Mostly Bahut He Jyada Use Hoti Hai Is Command Ka Use Karke Aap Kisi Bhi Website Ka Ip Address Or Server Address Ik Sath Pata Kar Sakte Hai.
Is Command Ko Run Karne Ke Liye Apko Apne Computer Me Cmd Ko Open Karna Hai OrNslookup Www.Sitename.Com Type Karke Enter Kar Dena Hai Sitename Ke Jaghe Apko Us Site Ka Name Type Karna Hai Jiska Ap IP Address Or Server Address Pata Karna Chahte Hai.
Enter Karte He Apke Samne Us Website Ka Ip Address Or Server Address How Ho Jayega.
- Friends Nslookup Command Se Aap Kisi Bhi Mail Server Ke Ip Ka Bhi Pata Kar Sakte Hai, Mail Server Ke Ip Ka Pata Kaise Kare Janne Ke Liye Niche Padhe.
- Sabse Pehle Apko Apne Computer Me Cmd Open Karna Hai Or Usme Nslookup Type Karke Enter Karna Hai.
- Fir Apko Set Type=Mx Type Karna Hai Or Enter Karna Hai.
- Fir Apko Com Type Karna Hai Jaise Gmail.Com Ya Yahoo.Com Type Karna Hai Or Enter Kar Dena Hai Enter Karte He Apke Samne Us Mail Server Ka Ip Show Ho Jayega.
3 Ipconfig Command For Find System Information.
Ipconfig Command Ka Use Karke Aap System Se Related Bahut Si Jankari Pa Sakte Hai Jaise Ip Address, Dns, Lan Etc.
Is Command Ko Run Karne Ke Liye Apko Apne Computer Ke Cmd Me Ipconfig Type Karke Enter Karna Hai Enter Karte He Apke Samne Apke System Se Related Information Show Ho Jayegi.
- Agar Ap Apne System Ka Ip Address Change Karna Chahte Hai To Ap Ipconfig Command Se Use Change Bhi Kar Sakte Hai Uske Liye Apka System Dynamic Hona Chahiye.
Is Command Ko Run Karne Ke Liye Apko Apne Computer Ke Cmd Me Ipconfig Type Karke Enter Karna Hai Enter Karte He Apke Samne Apke System Se Related Information Show Ho Jayegi.
- Agar Ap Apne System Ka Ip Address Change Karna Chahte Hai To Ap Ipconfig Command Se Use Change Bhi Kar Sakte Hai Uske Liye Apka System Dynamic Hona Chahiye.
5 Net User Command For Change Computer Password.
Netuser Command Ka Use Karke Aap Apne Computer Ka Password Change Kar Sakte Hai Wo Bhi Bina Old Password Use Kiye, Agar Aap Apne Computer Ka Password Command Prompt Ka Use Karke Change Karna Chahte Hai To Apko Sabse Pehle Apko Cmd Ko Open Karna Hai.
Fir Apko Net User Rock Rovin Rsc Type Karna Hai Or Fir Enter Kar Dena Hai Fir Ap Yaha Se Apne Computer Ka Password Change Kar Sakte Hai.
Note- Rock Rovin Rsc Ke Jaghe Apko Apne Computer Ka Name Type Karna Hai.
6 Route Command For Check Route Details.
Route Command Bhi Ik Aise Cmd Command Hai Jo Cmd Hacking Commands Me Bahut He Jyada Popular Hai Ik Command Ka Use Karke Aap Gateway, Interface, Routing Table Or Other Routing Detail Check Kar Sakte Hai.
Is Command Ko Run Karne Ke Liye Apko Cmd Me Route Print Type Karke Enter Karna Hai Or Apke Samne Route Detail Show Ho Jayegi.
7 Netstat –An Command For Find All Active Connection And Listings Ports.
Netstat –An Bhi Hackers Dwara Bahut He Jyada Use Kiya Jata Hai Is Command Ka Use Karke Aap Sabhi Active Connections Or Ports Ke Jankari Ik Click Me Prapt Kar Sakte Hai.
Is Command Ko Use Karne Ke Liye Apko Apne Computer Me Cmd Ko Open Karna Hai Or FirNetstat –An Type Karke Enter Kar Dena Hai.
Enter Karte He Apke Samne Sabhi Active Connection Or Listing Posts Ke List Show Ho Jayegi.
8 Syteminfo Command For Know About System Information.
Systeminfo Command Ka Use Bhi Cmd Hacking Commands Me Bahut He Jyada Popular Hai Is Command Ka Use Aap Operating System Configuration Information Local Or Remote Machine Ke Jankari Pane Ke Liye Kar Sakte Hai.
Is Command Ko Run Karne Ke Liye Apko Cmd Ko Open Karke Usme Systeminfo Type Karna Hai Or Enter Kar Dena Hai Apke Samne Apke System Se Related Jankari Show Ho Jayegi.
To Friends Ye Thi Kuch Mostly Used Cmd Hacking Commands Jo Hackers Dwara Bahut He Jyada Use Kiya Jata Hai Apko Hamare Ye Post Kaise Lagi Hume Jurur Bataye Comment Karke.
Agara Apko Hamare Ye Post Pasand Ayi Ho To Ise Social Sites Par Share Jarur Kare Hamare Future Posts Ke Jankari Pane Ke Liye Hume Apne E-Mail Par Subscribe Kare Facebook Par Humse Judne Ke Liye Hamara Facebook Page Like Karna Na Bhule.
please comment your choice game ...