10 popular whatsapp tricks in hindi

10 popular whatsapp tricks in hindi




1. Friend Ka whatsapp spy Hack kaise kare ?

whatsapp hack kaise kare ? ye ek top question hai. iska directly answer to yahi hoga ki aap whatsapp ko without interface ke to hack kar nahi sakte lakin ha hamare es trick se aap apne friends ya relative ke whatsapp ko track jarur kar sakte hain –
1. apne friend ka mobile le jisko aap spy karna chahte hain.
2. Go to settings —> About phone —> Status—> Wi-Fi MAC address
3. mac address note karle.
4. ab apne mobile se whatsapp ko uninstall karde.
5. ab apne mobile ko mac id apne friends ko mac id se spoofing mac se badal de.
6. ab apne mobile me whatsapp download kare. ab aapke friend ke mobile me whatsapp verification code send karega.
7. apna whatsapp verify kare.
8. ab jab aapka friend ya girlfriend whatsapp par kuch bhi karega to aapko uski har activity ke bare me pata chal jaega.

2. Kya aapke friend ne aapka whatsapp message read kiya ?

kya aapke friend ne aapka whatsapp message read kiya or agar kiya to fir kab kiya ? aapka message aapke friend ko kab delivered hua or usne Usko kab read kiya ? iske bare me janna simple whatsapp trick hai –
• apne message par long press kare.
• ab ek bar open hogi usme i icon par click kare.
• aapko puri jankari mil jaegi ki aapke friend ko kab aapka message mila or kab usne read kiya.

3. Whatsapp Me Blue Tick Option Kaise Disable Kare ?

blue tick ka matlab hai ki hamne ho message padha hai to agar hamara blue tick option enabled hai to samne wale ko pata chal jaega ki hamne message kab padha. agar aap nahi chahte ki koi ye jane ki aapne kab uska message padha to aap blue tick ko disabled kar sakte hain. ye bahut simple hai aaeye jante hain es whatsapp trick ke bare me –
• apna whatsapp account open kare or three vertical dots icon par click kare jo top right corner me hai.
• now Settings > Account > Privacy me jaye.
• Read Receipts ko uncheck kare. that’s it.

4. Whatsapp Quote Feature Kya Hai ?

whatsapp ke es trick se aap kisi ke message ka reply uske message ko quote karke de sakte hain. ye quote tip group chating me bahut kam aati hai –
• apne kisi group me friends ke kisi question ka answer dene ke liye us message par click kare.
• ab ek bar open hogi usme se first wala icon choose kare jo screenshot me niche aapko dikhaya gaya hai.
• ab apna comment add kare or send kare.
• that’s it. ab aapne special uske us message ka reply kiya hai or wo usko aasani se samjh jaega ki aapne uske konse message ke liye reply kiya hai.

5. Whatsapp Par Popular Message Kaise Star kare ?

kai bar kisi group me kuch message aise hote hain jo hame bahut pasand aajate hain jaise koi shayari ya koi images or hum chahte hain ki hum usko apne friends ke sath share kare. lakin us time sayad hum aisa nahi kar oaye lakh aap chahe to us message ko special apne whatsapp me star karke rakh sakte hain or bad me kabhi bhi read kar sakte hain or share bhi kar sakte hain. to aaeye jante hain –
• kisi message par long press kare.
• ab bar me se Star option par click kare.
• that’s it. ab aap apne whatsapp ke menu option me jakar stared message par click karke us message ko aasani se dekh sakte hain.

6. Whatsapp Me Image, Video Auto Download Kaise Band Kare ?

whatsapp me kai bar image, videos, audios apne aap download hona suru ho jate hain. isse hamara data waste to hota hi hai sath hi unnecessary files bhi download ho jati hain. aise me aap –
• Whatsapp ke 3 Dots menu option me jaye.
• Ab Settings > Data Usage > Media Auto Download Par click kare.
• ab aap one by one sabhi ko disabled karde.

7. Whatsapp Ko PIN Se kaise Lock Kare :-

jahir si bat hai dosto aaj ke din whatsapp ki security kon nahi chahta. hum sabhi cahte hain ko hamara whatsapp fully protect rahe or hamar sivay koi dusra usko access na kar paye. to iske liye aa0 whatsapp security tips jarur padhe –
• Aap iske liye Lock For Whatsapp application download kare.
• look for whatsapp application ko apne Android mobile me install or open kare.
• that’s it. ab aap ek specific code dalkar apna whatsapp lock kar sakte hain.

8. Whatsapp par Deleted Message Ko Recover kaise kare ?

whatsapp par delete ho chuke message ko bhi recover kiya ja sakta hai. aap hamare es whatsapp hack trick se apne deleted whatsapp message ko aasani se recover kar sakte hain –
• Apne Android mobile ko USB cable se PC se connect kare.
• Go to Folder – whatsapp/Databases
• yaha 2 file msgstore-yyyy..dd..db.crypt and msgstore.db.crypt name se milegi.
• msgstore-yyyy..dd..db.crypt file me last 7 din me sent kiye or receive kiye gaye messages honge.
• es file ko Notepad ya Wordpad me open karke aap message ko read kar sakte hain.

9. Ek mobile phone me multiple whatsapp kaise use kare ?

waise to maine ek mobile me 2 whatsapp chalane ki trick pahle bhi likh chuka hu lakin aaj yaha mai short and sweet sabdo me fir se aapko iske bare me batana chahunga.
iseke liye aap simple sa step hai ki aap Parellal Space apk download kare or aage ki puri jankari maine step by step mere ek mobile me 2 whatsapparticle me di hue hai. aap isko padh sakte hain.

11. Apne Whatsapp Chat Friends Ka Shortcut Kaise Banaye ?

aap apne jin friends se jyada pyar karte hain jinko aap pasand karte hain or jinke sath chating me interest rakhte hain unka aap shortcut bana sakte hain. ye shortcut aap apne whatsapp home screen par add kar sakte hain. or jab aap us shortcut par click karenge tab aap directly apne friend ke sath whatsapp chat par honge –
• apne whatsapp ko open kare.
• apne friend ki chat par ya contact par long press kare.
• ab ek window popup hogi usme se create shortcut par click kare.
• that’s it. aapke friend ka shortcut ban chuka hai. Now enjoy.

agar aap ko whatsapp se judi or koi jankari cahiye to aap hame comment karke bata sakte ho thanks you,

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments

please comment your choice game ...