Showing posts with label youtube earnig tricks. Show all posts
Showing posts with label youtube earnig tricks. Show all posts

youtube par subscribe and views kaise badhaye in hindi tricks

youtube par subscribe  and views kaise badhaye in hindi tricks

post by:-mahendra raiger

Hello Friends pc hindi tricks main aap sabi  ka Swagat Hai Friends Es Blog Par Apko Mene Bahut He Acchi-Acchi Tricks Sikhayi Hai Or Future Me Bhi Sikhata Rahunga Or Me Aasha Karta Hu Apko Meri Posts Bhi Pasand Aati Hoge, Friends Aaj Me Apke Samne Ek Aise Post Lekar Aya Hu Jo Youtube Channel Walo Ke Liye Bahut He Faydemand Hai Agar Apka Bhi Youtube Par Channel Hai Or Apke Channel Par Subscriber Bahut He Kam Hai To Ap Es Trick Ka Use Karke Apne Youtube Channel Par Subscriber Ko Badha Sakte Hai youtube auto subscriber ke madad se.

 Aj Ke Time Me Aise Bahut Se Youtube Users Hai Jinka Youtube Par Channel To Hai Or Vo Usme Videos Bhi Upload Karte Rehte Hai Par Unke Channel Par Views Nahi Aate Or Unke Youtube Subscribe Bhi Bahut Kam Hai Karan Hai Apne Youtube Channel Ko Promote Na Kar Pana, Agar Ap Bhi Unhe Me Se Hai Or Apke Youtube Channel Par Bhi Subscriber Bahut Kam Hai To Apko Ye Post Puri Padhni Chahiye.

Waise To Youtube Par Youtube Auto Subscriber Add Karna Illegal Hai Or Ye Youtube Ke Policy Ka Bhi Violation Hai Agar Ap ek Professional Youtube User Hai Or Aapne Apne Youtube Channel Ko Monetize Bhi Kiya Hua Hai To Apko Es Trick Ka Use Roz Nahi Karna Chahiye Esse Apka Monetization Disable Ho Sakta Hai Agar Apka Channel Professional Hai To Apko Es Tricks Ka Weekly Ek Ya Do Bar He Use Karna Chahiye.
 
Par Agar Apka Channel New Hai Or Apne Use Monetize Nahi Kiya Hai To Ap Es Trick Ka Use Karke Apne Subscribers Ko Badha Sakte Hai Par Me Yaha Bhi Es Bat Ke Guarantee Nahi Le Sakta Ke Youtube Dwara Apka Channel Ban Nahi Kiya Ja Sakta Hai. Kyoki Es Tricks Se Kaafi Logo Ne Apne Subscribers Badhaye Hai Or Unka Channel Na To Ban Hua Hai Or Na He Monetization Disable Hua Hai, Par Fir Bhi Me Apko Batana Chahunga Ke Ap Es Trick Ka Use Apni Responsibility Par Kare Or Agar Apka Monetization Disable Hota Hai Ya Apka Youtube Channel Ban Hota Hai To Esme Online Knowledge In Hindi Blog Jimmedar Nahi Hoga.
Youtube Channel Ko Youtube Auto Subscriber Ke Madad Se Auto Subscribe Kaise Karaye ?

     1.  Youtube Channel Par Youtube Auto Subscriber Pane Ke Liye Sabse Pehle Apko Youtube Par Jana Hai Or Login Karna Hai Uske Bad Apko Apne Youtube Channel Ka Url Copy Kar Lena Hai Agar Apko Nahi Pata Apke Youtube Channel Ka Url Kaha Milega To Niche Diye Gaye Steps Ko Follow Kar Sakte Hai.

Youtube Channel Ka Url Kaise Pata Kare ?

     A.Youtbe Channel Ka Url Pata Karne Ke Liye Sabse Pehle Apko Youtube Par Jana Hai Or Apni Gmail Id Se Login Karna Hai Uske Bad Apko Right Side Me Upper Ke Taraf Dikhai De Rahe Apni Profile Pic Ke Icon Par Click Karna Hai Or Fir Gear Ke Sign Par Click Karna Hai ap chahe to direct apne channel name par click karke bhi channel par pahuch sakte hai..

  B.  Fir Apke Samne Ek New Page Open Hoga Jaha Par Apko Apne Channel Name Par Click Kar Dena Hai.

  C.Jaise He Ap Apne Channel Name Par Click Karenge Apke Samne Apka Youtube ChannelOpen Ho Jayega Or Upper Search Bar Me Apke Youtube Channel Ka Url Dikhai De Raha Hoga Apko Use Copy Kar Lena Hai.

2.  Youtube Channel Ke Url Ko Copy Karne Ke Bad Apko Subpals.Com Site Par Jana Hai Or FirLogin/RegisterPar Click Karna Hai.


3.  Jaise He Ap Login/Register Par Click Karenge Apke Samne Login Page Open Ho Jayega Yaha Par Apko Copy Kiye Gaye Url Ko Paste Karna Hai Or Fir Login Par Click Kar Dena Hai.  

4.  Login Par Click Karte He Apke Samne Ek New Page Open Hoga Yaha Par Apko Apna Email Address Or Password Fill Karna Hai Or Fir Create Par Click Kar Dena Hai.


5.  Create Par Click Karte He Apke Samne Subpals Ke Kuch Plan Show Honge Jo Free Or Paid Do Prakar Ke Honge Apko Yaha Par Dusre Plan Ke Activate Ke Tab Par Click Kar Dena Hai.


6.  Fir Apke Samne Ek New Page Open Hoga Jo Kuch Es Prakar Ka Hoga Jaisa Niche Picture Par Dikhai De Raha Hai Yaha Par Apko Apne Free Paln Ko Activate Karne Ke Liye Sabse Pehle 20 Youtube Channels Ko Subscribe Karna Hai Or Jo Video Apko Dikhai Jayegi Use Like Bhi Karna Hai In 20 Channels Ko Subscribe Karne Ke Liye Or Plan Activate Karne Ke Liye Sabse Pehle Apko Like & Subscribe Ke Button Par Click Karna Hai.


7.   Jaise He Ap Es Button Par Click Karenge Apke Samne Ek Youtube Video Open Ho Jayege Apko Ese Like Karna Hai Or Channel Ko SubscribeKarna Hai.


8.  Fir Apko Es Youtube Video Ko Aise He Chhod Dena Hai Or Fir Wapis Subpals Site Par Ana Hai Or Fir Confirm Ke Tab Par Click Kar Dena Hai Aise He Apko Pure 20 Youtube Channels Ko Subscribe Karna Hai Or Videos Ko Like Karna Hai.



  9.  Task Ko Complete Karne Ke Baad Ap Dekhenge Youtube Auto Subscriber Plan List Me Apke Free Plan Me Activated Likha Hua Tab Dikhai Dega Or 24 Hours Me Apke Channel Ko 10 Subscriber Mil Jayenge.
agar aap ko ye post achi lagi to comment jarur kare and es post ko share karna na bhule thanks for reading this post..

Youtube videos ko copy right kaise karte hai hindi tricks

Youtube videos ko copy right kaise karte hai hindi tricks


hello friend my name is mahendra to aaj ham bat karenge ki YouTube ke video copy kaise kare? Dusro Ke YouTube video se paise kaise kamate hai? Dusro ke YouTube videos use karke apne channel par kaise upload kare vo bhi legal tarike se? aise sawal sabhi YouTuber ke man me aata hai. Dosto jaise ki hum jaante hai ki YouTube par copy karna kitna bada gunha hai yani ki hum kisi ka youtube video copy karke apne channel par dalte hai to us channel ka owner humare khilaf complaint kar sakta hai aur humne jo video upload kiya tha vo video YouTube delete kar deta hai. agar hum baar baar wahi galti doharate hai to YouTube humesha ke liye humara channel band kar deta hai. Lekin itna sabkuch hone ke bavajud bhi log puchte hai ki dusro ke YouTube videos kaise copy kare vo bhi legal tarike se, To chaliye me aapko bata hi deta hu ki dusro ke YouTube videos kaise copy kare vo bhi legal tarie se.

 To dosto aaj me aapko aisa ek tarika batane wala hu jiska istamal karke aap Dusro ke YouTube videos apne YouTube channel par upload kar sakte ho vo bhi bilkul legal tarike se itna hi nahi aap isse paise bhi kama sakte ho.  Agar aapko lagta hai ki aisa karne par YouTube aapka channel band kar dega ya phir  us video ka malik humare khilaf complaint kar dega, to dosto aisa kuch bhi nahi hone wala qki isse YouTube aur Video owner ko kuch problem nahi hogi balki jis channel ka aap video copy karne wale hai us channel ka owner bhi yahi chahata hai ki uska video dusre bhi use kare aur YouTube copy karne walo ke khilaf koi action nahi leta. Jab video ka owner apne channel par video upload karta hai to vo khud advance setting me jakar allow kar deta hai ki uska video koi bhi use kar sakta hai.


Dusro Ke YouTube Videos Copy Kyu Kare?

Dusro ke YouTube videos copy kyu kare? Iska shida sa jawab hai ki jab koi new YouTuberhota hai ya phir jin users ko YouTubechannel banana hota hai unhe pata hi nahi hota ki youtube video kasie banate hai ya phir unke pass koi idea nahi hota ki hum kis topic par video banaye. jin logo ke pass idea hota hai unke pass youtube video banana ke koi software nahi hote ya phir unke computer me software support nahi karte. Aise logo ko youtube ne ek free service di hai jinhe hume legal tarike se follow karna hota hai. Lekinn dosto iske bhi kuch rules hote hai jise aapko legal tarike se follow karna hota hai, to chaliye jaante hai ki vo rules kya hai.


Rules:- 

1. Hum sabhi Videos copy nahi kar sakte jin video par allow kiya hai wahi copy kar sakte hai.

2 .Dusro ke Videos download karke phir se apne channel par upload nahi kar sakte aapko jo karna hai aap Youtube Video Editor me kar sakte ho anhi to aapka video copyright mana jayega.

3 .Jaisa video hai vaisa ka vaisa video apne channel par hum load nahi kar sakte uske liye aapko YouTube Video Editor ke madat se thoda bahut chenges kar sakte ho jaise ki Mp3 add karna, photo add karna, slideshow banana aisa kuch hum kar sakte hai.

YouTube Video Editor Kya Hai?

YouTube Video editor ye ek YouTube ki hi service hai bjiski madat se hum YouTube par hi apne videos ko asaani se edit kar sakte hai. YouTube video editor me ek aur khas baat hai jisme hum koi bhi free videos apne channel par use kar sakte ho srif video hi nahi hum mp3 bhi use kar sakte hai.
Jaise ki maine bataya ki aap duro ke videos download karke apne youtube channel par upload nahi kar sakte nahi to vo video copyright mana jayega aapko jo karna hai vo aap YouTube video editor me kar sakte ho. Aapko jo free video use karna hai vo video YouTube editor me search karke wahi par use kar sakte ho aur bina download kiye apne youtube channel par laga sakte ho.

Hum Kis Tarah Ke Video Use Kar Sakte Hai?


Step: 1 Sabse pahale aap YouTube par login kare.

Step: 2 Login karne ke baad Right side me upper wale kone me aapke channel par click kare Creator Studio par jaye.

Step: 3 Aur uske baad left side me Create option par click kare. Aur uske baad wahi Video Editor naam ka option open hoga to aap uspar click kare


Step: 4 Ab aapke saamne YouTube video editor page khulega aap waha par free youtube videos, mp3 search karke edit kar sakte ho magar dhyaan rahe aapko video download nahi karna h22442/ai, aapko wahi video search karna hai aur wahi edit karna hai uske uske baad wahi aapne channel par video load karna hai.

No. 1 CC option par click kare.

No. 2 Aur uske baad aapko waha par search box dikhaidega usme aapko jo video serach karna hai vo search kare.

No. 3 Video kaise search karte hai uske liye number 3 dekhe

No. 4 Video search karne ke baad number  4 option dekhe aapko waha par bahut sare videos show honge aap koi bhi ek video par 2 baar click karke left side me uska preview dekh sakte ho.

No. 5 Video edit karne ke liye number 4 me jo videos hai jo aapne search kiya hai unme se jo aapko edit karna hai upar aap ek baar click and hold karke Number 5 ki taraf lekar aaye. Ab aapwaha par apne hisab se video editkar sakte ho. Edit karne ke baad Create Video button par click karke vo video apne channel par apne aap load ho jayega.

Youtube Video Ke Views Kaise Badhaye 10 tips in hindi

Youtube Video Ke Views Kaise Badhaye 





hello Dosto pc hindi tricks main aap ka suagat hai to , Aaj me aapko bataunga ki YouTube Video Par Views Kaise Badhaye. Aaj YouTube bhi Google ki tarah ek bohot bada platform ban gaya hai. Is par roj bohot sare naye YouTubers Aate hai aur apni channel banate hai. lekin inme se success hone wale kuch hi log hote hai. aur jo baki bachte hai usme se kuch log mahenat karte rahte aur kuch to 1 week ke andar hi Youtube ko chhod dete hai. Aur Sabhi YouTubers ka Ek hi sawal hota hai ki YouTube Video Ke Views Kaise Badhaye. to un logo ke liye ye post useful hai.Youtube par Kuch logo ke Video kam hote hai lekin unke Video par Millions of Views hote hai aur kuch logo ke Video to bohot hote hai lekin unko Views nahi milte. to ye depend karta unke work par. Sabhi log sirf HardWork karte hai lekin aap SmartWork kare. Jo Log SmartWork karte hai vo kuch Tips ko Follow karte hai. Vo Tips Me aapko yaha bataunga jise follow karke aap bhi YouTube Video Ke Viewers Increase kar Sakte hai.

10 Tips – Youtube Video Ke View Kaise Badhaye

1:- Use Attractive Thumbnail

Dosto YouTube me Sabse main Baat hoti hai Video ki Thumbnail. Maine Dekha hai ki jyadatar log to Thumbnail dekh kar hi video ko dekhte hai. isiliye dosto thumbnail hamesh attractive aur effective banaye jise dekhte hi log video ko dekhe. aur ha Thumbnail aisa create kare jo Video se juda ho. agar aap thumbnail me kuch aur video me kuch aur dikhaonge to aap ka video spam me aa jayenga. Thumbnail aap kisi achhe Photo Editor app me Create kare.

2:- Best Video Title

Thumbnail ke baad aata hai Video ka Title. Title bhi hamesha aap aisa rakhe jo attractive ho. Aur Title me aap Target Keyword use kare. Aap ek baar Jis bare me Video bana rahe hai uske keywords ki research kare. aap Google Keyword Planner ya fir YouTube me bhi search karke Keyword dekh sakte hai. Video ka Title bhi Video se related hona chahiye. Logo ko Video title padhte hi samaj aa jana chahiye ki video me kya hai. Video ka Title bhi Views badhane me aapki kafi madad karenga.

3:- Add Better and Clear Description

Ab baari aati hai Video ke Description ki. kai log description ko padhne ke baad hi video ko dekhte hai. to aap hamesa Clear Description likhe jisme aapke video ke related jankari ho. Description me bhi aap Focused Keyword ko use kariye. fir last me aap apne blog ya social pages ki link add kar sakte hai.

4:- Video Length

Kai baar naye Youtubers Video ki lambai bohot hi jyada rakh lete hai jiski wajah se unko views kam milte hai. isi liye aapko apne video ki length hamesha 3 se 5 minit ke aaspaas rakh sakte hai. log hamesha kam time me jyada jankari lena chahte hai, isi liye aap video me jobhi jankari dena chahte hai vo short aur clearly samaj aane wali honi chahiye.

5:- Add Best Tag in Video

Aapko Video ke Tag bhi Focused Keyword wale rakhne chahiye. jisse search me aap ka video top pe aaye. Video ko search me Top me lane ke liye Tag bohot hi jaruri hai. aur Tag aap hamesha video ke related hi add kijiye.

6:- Rename Video File

Kuch log Video ko banane ke baad jo video file create hoti hai use vaise hi Publish kar dete hai. lekin aapko publish karne se pahle use rename karna honga. yani aapko us video file ka naam apne video ke title ke naam ya Focused Keyword se rakhna hoga. jisse aapka video search me jald aayenga aur aapke Views increase honge.

7:- Social Media Networking

Ab Video ko Publish karne ke baad aap ise sabhi Social Network site jaise Facebook, Twitter, Instagram aur Whatsapp me share kariye. isse bhi aapke video ke Views increase honge. Facebook jaisi badi Social Site me aap Video ke Category ke bade Group me join ho jaye aur usme apne video ko share kare. Video ko Share karne me bhi bohot log galti karte hai, Vo Direct hi link ko share karte hai. lekin aap link ke sath us video ke baare me upar 2-3 line likhe. Aap Whatsapp me bhi bade group me apne video share kare aur apne friends ko bhi har video share kare.

8:- Engage with Your Audience

Aap hamesha apne Viewers ke sath contact me rahe aur unki ray lete rahe. aur unse apne video ke baare me puchhte rahe jisse aapko apne video ki kamiya nikal sake. aap comments ke throw logo se connect rahe aur logo ko ek acche dost ki tarah help karte rahiye. jisse aapke subscribe bhi badhne lagege.

9:- Create a Blog for Youtube Channel

Agar aap Apne Channel ke liye apna blog bana lege to ye to sone pe suhaga jaisa ho jayenga. kyu ki blog ke throw aapko Google se bohot sara traffic mil jayenga. aap apne Video ko Blog me Embed karke Vaha se bhi Viewers badha sakte hai aur aapki Earning bhi double ho jayengi. ek YouTube se aur dusri apne blog se bhi kar sakte hai.

10:- Comment Reply

Video ke views badhenge tab comments bhi aane lagegi. aap sabhi comments ko padhiye aur puche gaye sawalo ke bhi answer dijiye. jisse vo viewers dobara aapki video jarur dekhenga. Aap bade bade YouTube ko dekhna vo sabhi comments ko dekhte hai aur reply dene wali comments ko vo reply bhi karte hai. to aap comments ke reply kare jisse aapke views pe kabhi badhava honga.

YOUTUBE CHANNEL केसे बनाते है ! हिन्दी ट्रिक्स

हम  YOUTUBE  CHANNEL  क्यू  बनाते  है  ओर  कैसे  बनाते  है!




आज  मैं  आप  को    बहुत  ही  महत्वपूर्ण  बात  बताने  जा रहा  हु  youtube  channel  कैसे  बनाए   जाते  है

हो  सकता  है  आप  ने  पहले  से ही  बनाया  हो  फिर  भी  बना  सकते  हो  ये  बहुत  importent  है ।

एक   से  अधिक  भी  चैनल बना  सकते  हो



जैसे  की आप को    पता   है  यूट्यूब  से  पैसे कमाने  के  मामले  मे  बहुत  अच्छा   है

लेकिन  बहुत  बार  ऐसा भी होता    होता  है हम   सब   मेहनत  करते  है  पर  किसी  कारण 

से  adsense  account  disabled  हो  जाता  है   ऐसे  मैं  करे  तो  क्या  करे  इस  लिए  आप 

एक  से  ज्यादा   youtube  channel   create  करे ।

1)  YouTube par channel banane ke liye aapko youtube home page  par Jana hoga. YouTube ke home page ke upar right site mai 'sing in' likha hoga oha click Kare. Niche photo ko dekhe-
sing in YouTube

2) ab ek google account ka page khulega. Us page par Gmail ID dekar 'Next'. Yead rakhe YouTube sing in shif or shif Gmail se hi hoga. Dusra koyi email (      ) kam nehi karega. Kiu ki YouTube Google ki service hai. Gmail se hi YouTube par account banani hogi.




3) Aapna gmail id dekar Next karne ke bad or ek page khulega jaha aapko Gmail account ka password dena hoga.

4) Ab aap phir se YouTube home page par lot jayenge. Or jaha se aap sing in kiye the oha aapko Aapna Google plus ka photo dikhega. Aap us photo par click kare.

5) click ke bad ek YouTube profile page khulega jaha aapko setting chin par click Kare.


6) abhi app YouTube channels setting par pahuch chuke ho. Oha se aap new channel bana payenge. New channel (account) banane ke liye 'create a new channel' par click kare.

7) create a new YouTube channel par click karne ke bad aapke samne ek new page khulega jaha aapko niche diye gaye jankari varni hai--

    >  Channel name-  channel name par aapka YouTube channel ka name dena hoga. Aap jis name se youtube channels banana chahate ho oh name de.
           > category- Aap YouTube channels par kis type ka video upload kagore us husab se ek category chune.
    
           >  I agree to tha  page terms par click kare.


Note:-  Name, category or I agree karne ke bad aapka YouTube channels ban chuka he. Lekin agar 'verify your account' ka page aati hai to aapko YouTube account ya YouTube channels ko  verify bhi karni hogi.

YouTube Channel Verify Kaise Kare


Youtube Channel name, category or I agree varne ke bad 'Done' par click kar hai. Us ke 'verify your account' ka page aati hai. YouTube account verify karna bahut hi aasan hai. Dwo  step se aako YouTube account verify karni hai-


      1st step:- YouTube verify account page par aapna mobile number dena hoga. Or uske niche dwo option hai 'Text massage' (SMS) or 'Voice call'. Dwo me se ek ko select karna hoga or 'continue' Par click karo. Text massage ko select Kar ke continue koroge to verification cord SMS ke duwara aapke pas ayega. Agar aap voice call ko select karke continue korge to aapke pas ek call ayega. Call pe aapko cord milega. Jo aapko next page par add karni hai. Jo aapko aachi lage usko select kare or 'continue' Kare.
      

           
   2th step:-  'continue' karne ke bad aapke pas ek cord SMS ya call se aiyega. Jo aapko 'enter verification cord' ke niche box par add karni hai. Cord dene ke bad 'continue' Kare. Or agar aapko cord nehi milta he to aap ' Didn't get your cord' par click kare. Jisse oh cord aapko phir se send kiya jayega.

Cord dene ke bad aapka account verification complete ho chuka hai. But kabhi kabhi verification page nehi aati name, category or I agree karne me bad channel ready ho jata 


Abhi aapka YouTube account ekdom ready he. Aapko Ab ek acchi  video banake YouTub channel par upload kare. YouTube par video upload karne se pahele kuch bato ka dhen rakhe- @ video quality- YouTube par uploaded video ka quality good honi chahiye. Tabhi log aapke video pasand karenge. @ voice qualityquality- YouTube video ka voice quality bhi acchi honi chahiye. Jo sunte hi log aapke fun ho jaye.