upgrade update android mobile phone
Bahut se logo ko maine dekha hai jo ki apna phone direct update kar lete hai jisse ki unka phone kharab ho jata hai jaise ki thik se kaam nahi karta, brick ho jata hai, open nahi hota, touch kaam nahi karta, display kharab ho jata hai aur bhi isi tarah ki bahut si problems uhne face karni padti hai. Agar aap phone update karne se pehle kuch savdhaniyaa apnaye toh main yeh gurantee ke saath keh sakta hu ki aisi koi problem aapko face nahi karni padegi. Iss post mein maine woh saare important points bataaye hai jinhe agar aap apnao toh safely aapka mobile phone update ho jayega
Check For Update First:
Sabse pehle toh aapko yeh check karna hai ki aapke device ke liye update available hai ya nahi. Agar aapko nahi pata ki yeh kaise check karte hai toh chinta ki koi baat nahi maine neeche 2 methods diye hai inme se koi ek try kare
Method 1:
1) Apne mobile ke settings mein jaye
2) Sabse neeche ek option hoga About phone ka uspe click kare
3) Ab system update option pe click kare
4) Check for update option pe click kare
5) Agar update available hoga toh package download karne ka option aayega
Method 2:
1) Phone ka keypad mein jaye
2) Ab yeh code dial kare *#*#2432546#*#*
3) Agar update available hoga toh show ho jayega kuch seconds baad aapke staus bar mein
How to Safely Update Android Phone:
1) Phone update karne se pehle ek baat ka dhyan rakhe ki aapne apna device at least 70% charge kar rakha hai. Agar aapka phone charge nahi hoga toh update ke dauran switch off hone ke chances jyada hai jiske kaaran update beech mein hi fail ho jayega aur aapka device bhi kharab ho sakta hai. Ek baat ka aur dhyan rakhe ki update karte time aapka device charging mein na laga ho nahi toh device burst bhi ho sakta hai
2) Update ke dauran ghabrane ki zaroorat bilkul nahi hai kyuki device update hote time bahut baar reboot bhi ho sakta hai aise condition mein log sochte hai ki unka phone kharab ho gaya hai aur woh battery nikaal ke fir se usey phone mein daalte hai aur phone switch on karne ki kosish karte hai lekin mostly cases mein aisa karne pe device ka software corrupt ho jata aur woh mobile switch on nahi hota isliye friends aisa na hi kare toh behtar hoga
• Aankhon Ko Smartphone Se Kaise Bachaye
• Kaise Pata Kare Ki Aapko Kisi Ne WhatsApp Pe Block Kiya Hai
3) Wifi sabse accha tarika hai phone upgrade karne ka aisa main isliye keh raha hu kyuki jyadatar log apna data connection use karte hai. Aapke mann mein ab yeh question zaroor aa raha hoga ki "data connection mein kya problem hai jo wifi use kare" ? So friends main aapko bata du ki data connection jyada trustable nahi hai kyuki mobile network kabhi bhi stable nahi hota hamesha kam jyada hota rehta hai aur aisa condition mein yeh bhi possible hai ki update ke beech mein hi data band ho jaye network na hone ke wajah se jiske kaaran pura upgrading process ruk jayega. Second reason yeh bhi hai ki agar aapka data pack limited hua aur upgrade ke beech mein hi data khatam jo jaayega toh pura upgrading process wahi ruk jayega aur phone bhi kharab ho sakta hai
4) Phone ko upgrade karne se pehle uska full backup zaroor banale nahi toh data loss bhi ho sakta hai. Sab apne mobile mein personal photos, videos etc. rakhte hai jinse unki kuch yaade bhi judi hoti hai aur woh nahi chahte ki unke phone se yeh delete ho. So friends mobile upgrade hote time data loss ka bhi khatra bana rehta hai isliye apne mobile ka full backup banake kahi store karle taaki baad mein upgrade hone ke baad usey restore kar sake
5) Ab time hai device ko factory reset karne ka taaki upgrade ke dauran mobile mein koi gadbadi na ho. Factory reset aap bohot aasani se kar sakte ho iske liye sabse pehle settings mein jaye aur backup & reset pe click kare wahi pe factory reset ka option hoga uspe click karke aap factory reset kar sakte ho
please comment your choice game ...