computer ka password kaise thode in hindi tricks
Kis Software Ka Use Karenge Hum Computer Ka Password Todne Me?
Ye jaanna bahut jaruri hai ki akhir kis software ka use karenge hum to chalo batate hai ,hum yanha par ek bahut hi popular pasword breaking software OPH crack ka use karenge Jo lagbhag har tarike ka password todne me maahir hai ab bo chahe simple ho ya hard .Is software ki sabse achhi baat to ye hai ki isko use karna bilkul simple hai baise to aapko kuchh karne ki jarurat nhi hai agar aapne sahi se command de diye ,Ye software apna kaam badi hi saralta se karta jata hai bas aapko sirf apne computer ki screen me dekhna hai aur dekhte hi dekhte ye aapke computer me lage password ko badi hi asaani se break kar dega .Ye software time-memory trade-off par based hai.Ye lagbhag 99.9% of alphanumeric passwords ko recovers kar deta hai bo bhi seconds me.Computer Ka Password Work Kaise Karta Hai ?
Jaisa ki maine aapko upar bataya tha ki main aapko puri jankari dunga jisse aapko koi bhi adhuri jankari na rahe .Jab hum apne computer me password set kar dete hai ,to humara system us password ko hashes form me change kar deta hai ,hash form se matlab hota hai random numeric,albhabate .Jaise for example agar humare pc ka password hai Ajay soni to humara system is password ko kuchh is tarah save kar lega csfvgnbdhhdhjb132bhsj .Basically hota kya hai ki system humare password ko decrypt form me save kar deta jisse ki hacking hone ke chances kam ho jate hai .Ab maan lo humne password set kar diya ,iske baad computer ko fir se open kiya to aapse password daalne ki jarurat padegi ,ab jaise hi usme aap apna password dalenge to system pehle us software ka hash form check karega agar wo usme save hash form ke match karta hai to wo to apko login kar dega otherwise agar match nhi kiya to aapko incorrect password show karega Ab aap samjh gaye honge ki humare pc ka password kaise work karta hai.
Step By Step Tarika Computer Ka Password Crack Karne Ka
Ab main aapko neeche sabhi steps batane ja raha hoon jisko follow karke aap apne computer ka password tod payenge aur apne computer ko recover kar payenge.Bas ek request hai ki please jaise jaise step me main batau same baise baise hi follow kariye isse kya hoga ki aap pehli baar me hi passwor todne me safal ho jayenge.To chaliye neeche steps ko padhiye.Step:1) Sabse pehle hume jarurat padegi Oph crack software ki isko aap iski official website se download kar sakte hai ,yanha par main aapko bata du ki official site par sirf oph crack ki ISO file hi download hogi ,simply aap kya kariye neeche me jo link de raha hoon us link par jakar oph crack ki .iso file download kar lijiye iska size thoda bada hota hai lagbhag 455 mb ,isiliye ise download karne ke liye wifi ka use kariye.
<<Download oph crack image .iso>>
Step:2) Ab main maan ke chal raha hoon ki aapne oph crack ki iso file download kar li hogi ,Now kya karna hai aapko ki is iso file ko kisi blank cd/dvd disk me mount karna hai matlab burn karna hai kisi image burner software( Jo aapke windows me pehle se install hota hai) ki help se jisse ki hum apne computer ko cd/dvd ke through boot kar sake.
Step:3) Iso file ko cd disk me burn karne ke liye simply kya kariye ki apne computer me ek blank cd/dvd lagayiye iske baad ophcrack ki iso file par double click kariye jisse aapke samne ek disk burner khul kar aayega ,ye disk burner lagbhag sabhi windows system jaise window 7,8,8.1 me pehle se hi install hota hai.Aur isme ye aapse puchhega ki is iso file ko kanha par burn karna hai to simply apni blank cd disk ko choose kar dijiye ,Aur kuchh minutes baad aapki oph crack ki cd ban kar taiyar ho jayegi.
Step:4) Ab aapka labhag half se jyada kaam ho gaya hai .Ab simply kya karna hai ki apne computer ko is oph crack cd se boot karana hai .
Step:5) Cd disk se boot karane ke liye kya kariye cd ko computer me daaliye aur apne computer ko restart kariye ,jab humara computer restart ho raha ho to iski bios setting open karna .Agar aap nhi jante ki bios setting kaise open hoti hai to jaan lijiye jab hum computer ko start karte hai to apne dekha hoga side me likha hota hai f12 bios setting .Baise main dell me windows 8 use kar raha hoon aur mere me bios setting f12 se open hoti hai aap google par search kariye apne computer ya laptop ke model ke sath.Ya aapke paas jo book aayi hogi usme likha hoga ,aap check kar lijiye.
Step:6) Ab jab aap bios setting me pahuch jaoge to wo same jaise neeche screenshot diya gaya hai baisi hi screen khulegi .wanha par ek option hoga boot setting ka us par jaana.Aur wanha par choose karna ki boot hum apni cd se karne ja rhe hai ,wanha par option hota hai "boot from disc" isko save kar dena aur bios setting ko exit kar dena .
Step:7) Iske baad aapka computer oph crack disk ke through boot hone lagega aur aapke screen par logo show hone lagenge aur kuchh time ke baad aap oph crack me enter ho jayenge.
Step:8) Kuchh process hone ke baad aapke paas ek screen khul kar aayegi jisme aapko wo account choose karna hai jiska password aap todne ja rahe ho jaise agar aap "admin" ka password bhool gaye ho to admin bala account select karna aur wanha par di gayi "launch" button par click kar dena
Step:9) Bas ab kya ab oph crack apni process start kar dega aur kucch der baad aapke samne password ko break karke reslut de dega .Ab iski process me 5 minutes bhi lag sakte hai aur 1 minut bhi lag sakta hai ye aapke computer ki speed par depend karta hai.
Step:10) Jaise hi process khatm hogi to aap dekhna ki "NoTPassword" bale column me aapka password likha hoga.
1 comments:
comments
ReplyAre you willing to know who your spouse really is, if your spouse is cheating just contact cybergoldenhacker he is good at hacking into cell phones,changing school grades and many more this great hacker has also worked for me and i got results of spouse whats-app messages,call logs, text messages, viber,kik, Facebook, emails. deleted text messages and many more this hacker is very fast cheap and affordable he has never disappointed me for once contact him if you have any form of hacking problem am sure he will help you THANK YOU.
contact: cybergoldenhacker at gmail dot com
please comment your choice game ...